لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abbas ko pukaro

Farhan (ALI WARIS)2024
ShiaNohaLyrics
Ghazi to hai na, unse hi kehna..(3) Aye duniya walo, darr darr na jao kya ghum hai tumko aakar sunao..(2) kehta hai alam humse.. kehta hai alam humse, mayoos na ho ghum se Abbas ko pukaro..(2) Ya hazrat e abbas mere ghum ki dawa do mera bhi koi hai yeh zamane ko bata do Babul Hawaej Alamdar, Alamdar..(2) kehta hai alam humse, mayoos na ho ghum se..(2) Abbas ko pukaro..(3) 1. Duniya se nahi mango, kya degi tumhe duniya Allah ne rakha hai ummeed ka ek rasta dehleez se ghazi ki hojao jo wabasta..(2) do wasta Zainab ka phir kaam bane sabka Abbas ko pukaro Babul Hawaej Alamdar, Alamdar..(2) kehta hai alam humse, mayoos na ho ghum se Abbas ko pukaro..(2) 2. Dil toota hua ho to apno ko bulata hai dukh apne to har koi apno se hi kehta hai apno ki pareshani apna hi samajhta hai..(2) woh sabka sahara hai apno se bhi pyara hai Abbas ko pukaro Ya hazrat e abbas mere ghum ki dawa do mera bhi koi hai yeh zamane ko bata do kehta hai alam humse, mayoos na ho ghum se Abbas ko pukaro..(2) 3. Ek pyasi bhatiji ki ammu se guzarish hai hum sabki duao mein yeh mashk sifarish hai samjho to atao ki din raat jo barish hai..(2) radd hogi dua kaise ammu hai sakina ke Abbas ko pukaro Babul Hawaej Alamdar, Alamdar..(2) kehta hai alam humse, mayoos na ho ghum se Abbas ko pukaro..(2) 4. Muh mod liya sabne kya chhod diya sabne halat se tang aake dil chota nahi karte Abbas ki surat mein ek aas to baqi hai..(2) har ghum se nikalega seene se laga lega Abbas ko pukaro Ya hazrat e abbas mere ghum ki dawa do mera bhi koi hai yeh zamane ko bata do kehta hai alam humse, mayoos na ho ghum se Abbas ko pukaro..(2) 5. Jo dil pe guzarti hai har baat batani hai beemari pareshani sab inko sunani hai maine to har ek mannat Abbas se mani hai..(2) mayoos na jaoge jo manga wo paoge Abbas ko pukaro Babul Hawaej Alamdar, Alamdar..(2) kehta hai alam humse, mayoos na ho ghum se Abbas ko pukaro..(2) 6. Tufan e hawa jisse ghabrana nahi logo aghyar ki chaukhat pe tum jana nahi logo tum ne mere ghazi ko pehchana nahi logo..(2) kar dega meherbani jaisi ho pareshani Abbas ko pukaro Ya hazrat e abbas mere ghum ki dawa do mera bhi koi hai yeh zamane ko bata do kehta hai alam humse, mayoos na ho ghum se Abbas ko pukaro..(2) 7. Har dil ki murado ko sunta hai mera ghazi jo manga aqeede se deta hai mera ghazi saath apne muhibbo ke rehta hai mera ghazi..(2) taqdeer ki ho pasti aajaye jo tang dasti Abbas ko pukaro Babul Hawaej Alamdar, Alamdar..(2) kehta hai alam humse, mayoos na ho ghum se Abbas ko pukaro..(2) 8. Maslak hai wafadari fitrat mein jalali hai yeh apni sakhawat mein duniya mein misali hai kab baat faqiro ki is sher ne taali hai..(2) lab hilne nahi paye aur jholiya'n bhar jaye Abbas ko pukaro Ya hazrat e abbas mere ghum ki dawa do mera bhi koi hai yeh zamane ko bata do kehta hai alam humse, mayoos na ho ghum se Abbas ko pukaro..(2) 9. Farhan aqeeda yeh maa baap se paaya hai Abbas ki chaukhat pe sar sab ne jhukaya hai likh likhke zamane ko mazhar ne bataya hai..(2) aajaye koi mushkil ghabraye bohot jab dil Abbas ko pukaro Babul Hawaej Alamdar, Alamdar..(2) kehta hai alam humse, mayoos na ho ghum se Abbas ko pukaro..(2) Ghazi to hai na, unse hi kehna Ya hazrat e abbas mere ghum ki dawa do mera bhi koi hai yeh zamane ko bata do..(3)