لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mere qatl ki tayyari hai

Farhan (ALI WARIS)2024
ShiaNohaLyrics
Din hai ashoor ka aur asr ki aayi hai ghadi gird lasho'n ke akela hai hussain ibn e ali gher lo maro ise shor hai lashkar mein yehi dekho zakhmi bhi hai, pyasa bhi hai, taari hai ghashi sar peet ti maidan mein aayi Zahra Maa ko jab dekha shah e dee'n ne ye ro ro ke kaha Amma... Amma.. Amma... Teer talwar liye fauj khadi saari hai Amma dekho ye mere qatl ki tayyari hai Amma dekho ye mere qatl ki tayyari hai 1. Koi talwar se maare koi maare khanjar bhaala mara hai kisi ne to, kisi ne patthar khoon se chehra bhara, gurz laga hai sar par khaak jalti hui, phenki hai mere zakhmo par zakhm itne hai ke, har zakhm se khoo'n jaari hai Amma dekho ye mere qatl ki tayyari hai 2, Amma mera yeh badan chalni, hua kuch aise teer seene pe lage pusht se bahar nikle ek naiza hai hua paar jo pehlu se mere dard uthta hai har ek, tooti hui pasli se saans lene mein bhi, Amma badi dushwari hai Amma dekho ye mere qatl ki tayyari hai Teer talwar liye fauj khadi saari hai Amma dekho ye mere qatl ki tayyari hai 3. Zakhm khate hue ghode se, zamee'n par mai gira tha nidhaal aisa ke utha bhi nahi jata tha dekha ye haal to phir shimr meri samt badha qatl geh tak mujhe, balo'n se pakad kar laaya haan tamache mujhe, thokar bhi mujhe maari hai Amma dekho ye mere qatl ki tayyari hai 4. Tez khanjar jo abhi shimr ne, hatho'n mein liya maar ke zor se pathar pe, ise kund kiya meri haalat pe isay, rehem nahi aayega tera zarbo'n se mera, sukha gala katega pase gardan pe har ek, zarb bohot bhaari hai Amma dekho ye mere qatl ki tayyari hai Teer talwar liye fauj khadi saari hai Amma dekho ye mere qatl ki tayyari hai 5. Dekha jata nahi amma, badi mushkil hai ghadi reyt ke teele pe dekho, meri Zainab hai khadi bhai ka kat-ta gala, aaj behen dekhegi roke chillayegi, sar pitegi, ghash khaegi ek ek lamha yeh, Zainab pe bohot bhari hai Amma dekho ye mere qatl ki tayyari hai 6. Boli phir Mazhar o Farhan, yeh Zehra rokar mai tere saath hu har lamha, mere lakht e jigar haye tharrayi zamee'n chalne laga hai khanjar rakh diye haath teri, Maa ne teri gardan par bole Shabbir ke haaye meri lachari hai Amma dekho ye mere qatl ki tayyari hai Teer talwar liye fauj khadi saari hai Amma dekho ye mere qatl ki tayyari hai