لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Zakhmi Hai Sakina

Farhan (ALI WARIS)2024
ShiaNohaLyrics
Baba Mere Baba Baba Mere Baba Mere Baba Baba Chalna Chahoon To Chala Bhi Nahi Jata Paon Zakhmi Yeh Uthta Hi Nahi Mera Sona Chahoon To Soya Bhi Nahi Jata Pusht Zakhmi Hai Zakhmo Se Hai Khoo Behta Saans Leti Hoon To Dukhti Hain Pasliyan Dadi Zahra(s.a.) Ki Tarha Tooti Hain Pasliyan Baba Rukhsar Mere Zakhmi Kaano Se Lahoo Jari Bunde Bhi Chinay Mere Kurta Bhi Jala Baba Haay Itna Mujhe Mara Baba Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.) Baba Haay Itna Mujhe Mara Baba Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.) 1. Dhoondti Phirti Thi Mein Aap Ka Lasha Baba Ek Zalim Ne Mujhe Rok Ke Mujhse Poocha Dhoondti Kis Ko Hai Baba Ka Tere Naam Hai Kya Mere Baba Hain Hussain Ibn e Ali Meine Kaha Phir Ghaiz Mein Woh Aaya Chehre Pe Mujhe Mara Reti Pe Gira Daala Mein Kehti Rahi Baba Haay Itna Mujhe Mara Baba Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.) Baba Haay Itna Mujhe Mara Baba Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.) 2. Raah Mein Chalte Hue Qafla Thehraya Gaya Pani Le Kar Jo Wahan Shimre Laeen Aaya Tha Apne Lashkar Ko Wahan Pani Se Sayraab Kya Pani Dikhla Ke Mujhe Sara Wahin Phenk Diya Phir Hans Ke Woh Kehta Tha Pyasa Tujhe Rakhunga Balon Ko Mere Khencha Or Khoon Resa Baba Haay Itna Mujhe Mara Baba Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.) Baba Haay Itna Mujhe Mara Baba Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.) 3. Pusht Zakhmi Hui Sajjad Ki To Meine Kaha Haay Maaro Na Isay Bhai Hai Bemaar Mera Sun Ke Aawaz Meri Shimr Meri Samt Barha Bhai Ko Chor Diya Phir Woh Sitam Mujh Pe Kya Mara Mujhe Tamacha Chehre Se Lahoo Nikla Woh Haath Sitamgar Ka Bhaari Tha Bada Baba Haay Itna Mujhe Mara Baba Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.) Baba Haay Itna Mujhe Mara Baba Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.) 4. Kha Ke Zalim Ke Tamache Mujhe Ghash Aata Tha Phir Tamacho Se Hi Woh Hosh Mein Le Aata Tha Hans Ke Kehta Tha Bula Baba Ko Ammu Ko Bula Jitna Tu Roye Gi Utna Hi Tujhe Marunga Phir Dil Mera Ghabraya Or Jism Bhi Tharraya Yeh Haal Mera Dekha Na Reham Kya Baba Haay Itna Mujhe Mara Baba Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.) Baba Haay Itna Mujhe Mara Baba Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.) 5. Mera Nanha Sa Gala Rassi Se Bandhwaya Gaya Mujh Ko Panjo Pe Kabhi Kaanto Pe Chalwaya Gaya Tez Chaltay Hue Naqoo Se Bhi Girwaya Gaya Sar Ba Rehna Mujhe Bazaar Mein Phirwaya Gaya Thi Itni Thakan Baba Paon Bhi Na Uthta Tha Us Waqt Jo Ghash Aaya Aise Jagaya Baba Haay Itna Mujhe Mara Baba Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.) Baba Haay Itna Mujhe Mara Baba Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.) 6. Jab Mein Zindan Se Rehaye kK Khabar Paoungi Dadi Zahra(s.a.) Ki Mein Turbat Pe Chali Jaoungi Apni Tooti Hui Pasli Unhe Dikhlaungi Chaar Saala Mein Zaeefa Hoon Yeh Batlaongi Hum Dono Hain Mazlooma Ek Jaisa Hai Ghum Apna Zalim Ne Jo Rulwaya Dono Ne Kaha Baba Haay Itna Mujhe Mara Baba Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.) Baba Haay Itna Mujhe Mara Baba Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.) 7.Kaisa Woh Mazhar o Farhan Tha Ghum Ka Manzar Qaid Khanay Mein Sakina(s.a.) Ko Mila Baba Ka Sar Roi Kuch Der Woh Muh Baba Ke Muh Per Rakh Kar Bas Yehi Kehte Huay Kar Gayi Duniya Se Safar Yeh Aakhri Jumla Tha Ab Sabr Nahi Hota Sar Ronay Laga Sheh Ka Beti(s.a.) Ne Kaha Baba Haay Itna Mujhe Mara Baba Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.) Baba Haay Itna Mujhe Mara Baba Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.) Baba Mere Baba