لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aisa Mera Hussain (a.s)

Farhan (ALI WARIS)2025
ShiaNohaLyrics
Hussain Hussain Ya Hussain - 2 Koi nahi Koi nahi door tak koi nahi Jaisa mera Hussain, waisa koi bhi nahi Waisa koi bhi nahi aisa Duniya mein koi hai na hoga - 2 Hussain wo badshah hai jo Mulkon pe nahi, dilon pe hukoomat karta hai Hussain Hussain Ya Hussain - 4 Hussain hamara hai, jaan se bhi pyara hai Aankhon ka taara hai, sabka sahaara hai Aisa mera Hussain, aisa mera Hussain Mera maula Hussain, aisa mera Hussain Hussain Hussain Hussaina Hussaina - 2 Iske liye hi saari duniya bani hai Jo isko maane, wahi panjetani hai Har dil pe raaj iska, Sab kuch hai aaj iska - 2 Kehne waalon kaho, sunne waalon suno Padhne waalon padho, likhne waalon likho Aisa mera Hussain, aisa mera Hussain Mera maula Hussain, aisa mera Hussain Hussain Hussain Hussaina Hussaina - 2 Haq pe hai kaun, tune sabko bata diya Naame Yazid ko gaali bana diya Woh murdabad raha, tu zindabad raha - 2 Waada nibha gaya, sar ko kata gaya Ghar ko luta gaya, zehno ko becha gaya Aisa mera Hussain, aisa mera Hussain Mera maula Hussain, aisa mera Hussain Hussain Hussain Hussaina Hussaina - 2 Wo Sadi bhi thi gham-e-Hussain ki Yeh sadi bhi hai gham-e-Hussain ki Har sadi hai bas gham-e-Hussain ki Maula se dil ka rishta kal bhi tha, aaj bhi hai Iska parcham to ooncha kal bhi tha, aaj bhi hai Har ghar pe maatam barpa kal bhi tha, aaj bhi hai Har har lab pe iska noha kal bhi tha, aaj bhi hai Qabza har dil pe iska kal bhi tha, aaj bhi hai Aisa duniya mein koi hai na hoga - 2 Aisa mera Hussain, aisa mera Hussain Mera maula Hussain, aisa mera Hussain Hussain Hussain Hussaina Hussaina - 2 Har koi maane jise apna Imaam — Hussain Saari zabaano pe hai ek hi naam — Hussain Hindu, Muslim, Isaai — is dar pe bhai bhai - 2 Dharti ka raja hai, hum sabka Maula hai Har koi kehta hai, har dil mein rehta hai Aisa mera Hussain, aisa mera Hussain Mera maula Hussain, aisa mera Hussain Hussain Hussain Hussaina Hussaina - 2 Dil jaan, jaane jaana, jaaneman — Hussain jaan - 3 Hussaino minni wa ana menal Hussain bole Nabi Mera chain hai ye, noor ayn mera savaar hai ye Dil ka qaraar hai ye - 2 Fatima iski maa, Baba kul-e-imaan Aisa shajrah kahaan? Sun le saara jahan Aisa mera Hussain, aisa mera Hussain Mera maula Hussain, aisa mera Hussain Hussain Hussain Hussaina Hussaina - 2 Khidmat azaa ki karta main aaya Virsaa yahi Aulaad mein paaya majlis girya-o-Maatam karte rahenge har dam - 2 Mujhko hai ye sukoon, hai paak mera khoon Main rahoon na rahoon, bolega ye junoon Aisa mera Hussain, aisa mera Hussain Mera maula Hussain, aisa mera Hussain Hussain Hussain Hussaina Hussaina - 2 Zinda rahega, paayinda rahega, Maula Hussain ka naam - 2 Karb-o-bala ka saani koi nahi Aake yahaan pe ye kahe, zayereen Hai paak sarzameen milta hai deen yahi - 2 Ye hai khaak-e-shifa, kehte hain anbiya Banjar ye sehra tha — jannat bana diya Jannat hai roza tera, jannat hai poori yeh karbobala Aye wallah - 3 Jannat Hai Karbala — Jannat hai Karbala - 3 Jaake dekho Arbaeen, manzar Ye dekha kahin hota hai aisa yahin, hai karodon zaaireen Chhod aaye apna ghar, karte hain paidal safar Har taraf hai sar hi sar, hai thakan se bekhabar Sardi mein, garmi mein bhi, har safar mein har ghadi Din mein Shab mein har koi karta rehta hai mashee Sabka ye daata hai, har dil ko bhaata hai Dar pe bulaata, Rab se milata hai Aisa mera Hussain, aisa mera Hussain Mera maula Hussain, aisa mera Hussain Hussain Hussain Hussaina Hussaina - 2 Sad Alwida Hussaina - 4 Hussain... tera shukriya BuLaaya tune Karbala Dua hai ye Farhan ki — na ho ye ziarat aakhri Tum apne Mazhar ko sada bulana Maula Karbala Sad Alwida Hussaina - 4 Badshah-e-Karbala Alvida yabnaz zehra Tishnalabe Nainawa — Alvida yabnaz zehra Tere pursay ka Maula haq ada na ho saka zawaron ki khidmat ka haq ada na ho saka Phir dar pe bulwa lena — Alvida yabnaz zehra Zavaari karwa dena — Alvida yabnaz zehra Qubool karna pursa — Alvida yabnaz zehra Ye maatam aur ye noha — Alvida yabnaz zehra Dete hain tumko pursa — Alvida yabnaz zehra Kehte hain ehle azaa — Alvida yabnaz zehra Wawayla sad wawayla — Alvida yabnaz zehra - 2 Alwida Ya Hussain... Alwida Ya Hussain...