لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ye izzatdar gharana hai

Farhan (ALI WARIS)2025
ShiaNohaLyrics
Qul la as'alukum 'alayhi ajran illa al-mawaddata fil-qurba Yeh izzatdaar gharana hai Yeh izzatdaar gharana hai Syed sardar gharana hai Yeh izzatdaar gharana hai Malika hain Khadija (s.a) is ghar ki Malika hain Khadija (s.a) is ghar ki Maalik Hasnain (a.s) ka Naana (s.a.w) hai Yeh izzatdaar gharana hai Saari aayaat-e-Qurani Is ghar ki shaan mein utri hain Yeh paak Mohammad (s.a.w) ka ghar hai Yahan Fatima Zahra (s.a) rehti hain Aawaaz yahan neechi rakhna Aawaaz yahan neechi rakhna Allah ka yeh farmaana hai Yeh izzatdaar gharana hai Jo inka dushman hai us par Allah bhi laanat karta hai Is ghar mein rehne walon ka Qur'an mein shajrah likha hai Kaaba karta hai salaam usko Kaaba karta hai salaam usko Is baat ko jisne maana hai Yeh izzatdaar gharana hai Yeh izzatdaar gharana hai Sardar farishton ka aakar Is ghar mein jhulata hai jhoola Haan takht aur taaj ko thukraakar Aayi hain kaneezi mein Fizza (s.a) Naukar jo bhi hai is ghar ka Naukar jo bhi hai is ghar ka Andaaz uska shahana hai Yeh izzatdaar gharana hai Khaali nahi jaata koi bhi Sab ke daaman bhar jaate Jab rotiyaan baanti hain Zahra (s.a) Yahan aasmaan waale aate hain Bat'taa hai tabarruk ki soorat Bat'taa hai tabarruk ki soorat Is ghar ka jo bhi khaana hai Yeh izzatdaar gharana hai Jis ghar par ho Ghazi (a.s) ka alam Karti hain Fatima Zahra (s.a) karam Hum log Hussaini hain chhat par Kyun na lehrayein yeh parcham Yeh alam lagaane ka maqsad Yeh alam lagaane ka maqsad Duniya ko yeh batlaana hai Yeh izzatdaar gharana hai Sadaqa yeh diya hai bachon ka Bibi (s.a) ne apne naukar ko Farhan inhi ki majlis ne Zeeshan banaya hai ghar ko Mera ghar koi aam nahi, is mein Mera ghar koi aam nahi, is mein Zahra (s.a) ka aana jaana hai Yeh izzatdaar gharana hai Izzat jo badi thi to Museebat bhi badi thi Jo ghar tha Mohammad (s.a.w) ka, wahan aag lagi thi Izzat bhi badi, ghurbat bhi badi Izzat bhi badi, ghurbat bhi badi Jis dar pe Nabi (s.a) karte the salaam Us darwaaze ko jalaaya gaya Izzat bhi badi, ghurbat bhi badi Kaabe mein zuhoor hua jis ka Masjid mein us ko qatl kiya Izzat bhi badi, ghurbat bhi badi Pehlou mein Nabi (s.a) ke jo tha pala Wohi pehlou mein na dafn hua Izzat bhi badi, ghurbat bhi badi Jise Khuld se kapde bheje gaye Bekafan raha uska laasha Izzat bhi badi, ghurbat bhi badi Jo ghar Kauser ka maalik tha Use dasht mein pyaasa maar diya Izzat bhi badi, ghurbat bhi badi Qaaim tha parda jin se unhein Bazaar mein laaye be-parda Izzat bhi badi, ghurbat bhi badi Hai jin ke sadqe mein duniya Hai un pe sadqa phenka gaya Izzat bhi badi, ghurbat bhi badi Aazaad karaaye jo qaidi Haaye woh gharana qaid hua Izzat bhi badi, ghurbat bhi badi Izzat bhi badi, ghurbat bhi badi Yeh izzatdaar gharana hai Izzat bhi badi, ghurbat bhi badi