لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Zaeefa kon Ho Tum

Farhan (ALI WARIS)2025
ShiaNohaLyrics
Safar Main Naiza Jab Zalim Ne Mara Giri Naqe Se Ghash Kha Kar Sakina Khuli Jab Aankh To Manzar Ye Dekha Hai Godi Main Liye Koi Zaeefa Tha Chehre Par Naqab Uss Ke Laga Tha Khoon Hathon Pe Na Jane Kya Khayaal Aaya Sakina Ne Kaha Ro Ke Sakina Ne Ye Kaha Ro Ke Suno Khamosh Kyun Ho Tum Hamari Jan Jaati Hai Tumhare Pass Se Baba Ki Mujh Ko Khushboo Aati Hai Sakina Ko Batao Na Zaeefa Kon Ho Tum Sakina Par Bohat Din Baad Aisa Waqt Aaya Hai Kisi Ne Pyaar Se Aaghosh Main Apni Sulaya Hai Gaye Hain Jab Se Baba Chhod Ke Sab Ne Rulaya Hai Mere Nazuk Se Rukhsaron Pe Bhari Hath Udaya Hai Magar Tum Ne Mere Galon Pe Jab Se Hath Phera Hai Kami Hai Dard Main Tum Se Koi To Rishta Mera Hai Kabhi Mujh Ko Girane Ke Liye Mara Hai Durre Se Kabhi Rahwar Dodaya Kabhi Mara Hai Naize Se Usse Maloom Tha Mar Jaungi Tezi Se Girne Se Laeen Ne Jaan Kar Mujh Ko Giraya Chalte Naq E Se Agar Thama Nahi Hota Mujhe Tum Ne Yahan Bibi Meri Dadi Ki Tarhan Toot Jatein Pasliyaan Meri Hamesha Se Mera Bistar Mere Baba Ka Seena Tha Magar Ek Din Phuphi Ke Sath Ye Maqtal Mein Dekha Tha Mere Baba Ka Qaatil Bhi Usi Seene Pe Baitha Tha Guloo E Khushk Par Khanjar Se Gin Kar Waar Karta Tha Laga Hai Jo Tumhare Hath Pe Wo Khoon Kis Ka Hai Hain Zakhmi Ungliyaan Jaise Kisi Khanjar Ko Roka Hai Mere Chhine Hain Gohar Taziyane Bhi Lagaye Hain Gala Rasi Mein Bandha Be Rida Bazaar Laye Hain Sar E Abbas Ke Aage Tamache Maine Khaye Hain Safedi Aa Gayi Baalon Mein Itne Gham Uthaye Hain Zaeefon Ki Tarha Sahara Le Ke Chalti Hoon Ke Ab Mein Char Barsoon Mein Tumhare Jesi Lagti Hoon Main Saidaani Hoon Or Is Baat Par Main Fakhar Karti Hoon Magar Ek Zakham Aaisa Hai Main Jis Se Roz Marti Hoon Mujhe Dete Hain Sab Sadqa Jahan Se Bhi Guzarti Hoon Nazar Jab Shimr Aata Hai To Chhup Jaati Hoon Darti Hoon Jo Burqa Tum Ne Pehna Hai Ye Syed Zadiyon Ka Hai Batao Kya Yahan Tum Ko Meri Dadi Ne Bheja Hai Yahan Koi Nahi Aayega Hai Charon Taraf Sehra Naqab Apna Hatao Dekh Loon Ek Baar Mein Chehra Na Jaane Kyun Mujhe Yaad Aati Hai Dadi Meri Zehra Meri Tarah Tumhare Rukh Pe Bhi Kya Zakham Hai Gehra Mere Chehre Pe Zalim Ki Angothi Ke Nishanon Ka Zaeefa Wasta Tum Ko Mere In Zakhmi Kanon Ka Ye Sunte Hi Zaeefa Ne Kaha Mein Teri Dadi Hoon Tere Baba Ka Khoon Hathon Pe Apne Sath Lai Hoon Tujhe Rahwar Se Girte Huwe Na Dekh Payi Hoon Jabhi Tujh Ko Bachane Karbala Se Sham Aayi Hoon Kaha Zeeshan Or Farhan Bachi Se Ye Zehra Ne Naqab Apna Hata Doon Gi Na Ab Tum Poochhna Hum Se