لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abbas (AS) bole kaise

Fatema Ladak2010
ShiaNohaLyrics
Wapas na jaunga Abbas Abbas Abbas bole kaise mai wada nibhaonga piyason ko teen roz ke kia moo dikhaunga Wapas na jaunga, wapas na jaunga Pewast teer ankh mei seena figaar hai Panja mere alam ka bhi matam guzaar hai Baazu juda hain mashq ye kaise uthaunga Wapas na jaunga Koshish ke bawajud bhi koshish hai raaega Pani nahi baha ye gira mujh pe aasma Ab kaise mai Sakina se nazreh milaunga Wapas na jaunga Hukm-e-Hussain ne mujhe paband kardia Rasta digah ka mere liye band kardia Ye baat tashna kaamon ko kaise bataunga Wapas na jaunga Gham tou yehi hai gham bhi uthaya nahi gaya Hamsheer gham uthayegi aur mai nahi raha Sharmindagi ka teer kaleje pe khaunga Wapas na jaunga Aaqa se koi keh de karam itna kijiyeh Laasha mera khayam mai le kar na jayeh Le jayeh alam mera mai tou na jaunga Wapas na jaunga Mujh baawafa se nehr ne kyu bewafai ki Kimat hamare bhai ne di thi tarai ki Mujh ko khabar na thi ke mai khoo mai nahaunga Wapas na jaunga Ye kehte kehte shair ko hichki jo aagayi Gham se kamar Hussain ki Rehan kham hui Bole Hussain tere bina jee na paunga Wapas na Jaunga