لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Hussain (AS) teri azadar

Fatema Ladak2011
ShiaNohaLyrics
Hussain teri azadar Hussein teri azadar hai azadari Ibadato ki alamdar hai azadari Yazeede waqt se zainab teri dua ban kar Jihaad kerne ko tayaar hai azadari Ameer-e-shaam ko jo motebhar samjta hai Ussiki nazro mei bekaar hai azadari Bus bibi raazi hojaye x2 Jisse na rone diya bhaio ke laashe par Ussi garib ko darkaar hai azadari Hussein ke liye marham bani hai zakhmo ka Karare abideh bimaar hai azadri Tamache khake batayaa hai yeh sakina ne Ghameh hussein ka izhaar hai azadari Dayaare shaam mei usska asar hai aaj talak Huwi jo barsare darbaar hai azadari Rukki hai aur na rukegi kabi yeh hashr talak Duae ahmade mukhtar hai azadari Milla hai ghabate kubra mei yeh sharaf ussko Imaame asr ki zawaar hai azadari Yazidiyat se takkallum kahun sambhal jaaye Hamaare haath ki talwaar hai azadari