لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mei karbala mei hu

Fatema Ladak2011
ShiaNohaLyrics
Mei karbal mei hu(n) Kahtay Hai(n) yeh Imam-e-Zama(n) Karbala mai(n) hou(n) Ghurbat ka daikhta hou(n) Sama(n)-Karbala mai(n) hou(n) Woh hai(n) uthaye laash-e-pisar daikhta hou(n) mai(n) Daikha nahi(n) hay jata magar daikhta hou(n) mai(n) Parady mai(n) ghaib kay hou(n) nihaa(n)-Karbala mai(n) hou(n) Rehta hay mairay samnay maqtal ka aiena Mehsoos dard hota hay Akbar kay zaghm ka Chubhtee hay aik nook-e-sina(n)-Karbala mai(n) hou(n) Majmay say guzray itrat-e-athaar kis tarah Rotay hai(n) ab bhee Abid-e-Beemaar kis tarah Kaisay karoo(n) mai(n) dukh woh baya(n)-Karbala mai(n) hou(n) Zinda zameen par mai(n) paeay Intiqaam hou(n) Mai(n) waris-e-Hussian Alaieh-is-Salaam hou(n) Hay samnay Hussain kee Maa(n)-Karbala mai(n) hou(n) Bachee tamnchay khatee hay zalim say bay sabab Panee nahi(n) hay peetee agarchay hay tashna lab Asghar mera gaya hay kahaa(n)-Karbala mai(n) hou(n) Kya Jannat-ul-Baqeee- eka hay haal Haeay Haeay Dadee kee qabr ho gaiee pamaal Haeay Haeay Ik karbala bapa hai(n) yahaa(n)- Karbala mai(n) hou(n) Kahatay hai(n) Sach QAMAR ke yeh din hai(n) malaal kay Akbar kee lash laya hou(n) barchee nikaal kay Kaandhay pa hay yeh lash-e-Jawaa(n)-Karbala mai(n) hou(n)