لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Har dard ka manzar hai

Fatema Ladak2012
ShiaNohaLyrics
Har dard ka manzar hai Har dard ka manzar hai sajjad ki aankhon mei (Zainab ka khulla sar hai) x2 sajjad ki aankhon mei Mazloom akela tha aur chaaro taraf lashkar Is alame ghurbat mei shabbir ki gardan par Chalta huwa khanjar hai sajjad ki aankhon mei Har dard ka manzar hai sajjad ki aankhon mei Athara baras paala maa ne jisse parde mei Barchi ki anee tuti us chand ke sine mei Wo laashae akbar hai sajjad ki ankhon mei Har dard ka manzar hai sajjad ki aankhon mei Jab tak bhi rahi zindaan saaye mei nahi beti Bas yaad mei asghar ki koi huwi rehti thi Besheer ki madar hai sajjad ki aankhon mei Har dard ka manzar hai sajjad ki aankhon mei Jis keliye bachpan mei jannat se libaas aye Wo dilbare zahra hai be goro kafan haye Mazloomiye sarwar hai sajjad ki ankhon mei Har dard ka manzar hai sajjad ki aankhon mei Be parda jo guzri hai bazaar ke raste se Be jurmo khata jis par pathar bhi baraste the Wo aale payambar hai sajjad ki aankhon mei Har dard ka manzar hai sajjad ki aankhon mei Kistarha bulade wo bachi ki shahadat ko Dafnaya jo zindaan mei baba ki amanat ko Ghurbat ka wo manzar hai sajjad ki aankhon mei Har dard ka manzar hai sajjad ki aankhon mei Tanhayi hai aur ghar hai har din hai qayamat ka Dil kese lage uska veeraan hai har hujra Zahra ka bhara har hai sajjad ki aankhon mei Har dard ka manzar hai sajjad ki aankhon mei Ay mir takallum jo hai aaj talak jaari Hai mujko yaqeen jiska katra hai azadari Wo gham ka samandar hai sajjad ki aankhon mei (Har dard ka manzar hai sajjad ki aankhon mei) x2