لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Khoon ke ansu

Fatema Ladak2012
ShiaNohaLyrics
Khoon ke aasoo rota hun Kehte hai yeh ghaibat mei mola mei khoon ke aasoo rota houn Hay samnay meray karbobala, mai(n) khoon kay aansoo rota hou(n) Jeetay raho sheh kay azadaroo, kab tum nay shahadat daikhee hay Tum nay jo mussebat sirf sunee, main nay woh museebat daikhee hay Ashkon kay bahaoo tum darya, main khoon kay aansoo rota houn Kehte hai yeh ghaibat mei mola mei khoon ke aasoo rota houn Ghafil nahi tum say aey logo, tum sab kee hifazat kartaa houn Shabbir ka matum karta houn, din raat ibadat kartaa houn Karta hou khuda ko jab sajda, main khoon kay aansoo rota houn Kehte hai yeh ghaibat mei mola mei khoon ke aasoo rota houn Hum aal-e-nabee par zulm huwe, aur khoon say zameen yeh laal huwi Lasha sheh ka pamaal huwa, zahra ki lahad pamaal huwi Marqad pe nahi koi saya, main khoon kay aansoo rota houn Kehte hai yeh ghaibat mei mola mei khoon ke aasoo rota houn Abbas giray the ghoorray se, manzar yeh nazar main phirtaa hai Woh jis kay bazoo katt jayen, kaise woh zamin par girtaa hay Abbas ne kya mahsoos kiya, main khoon kay aansoo rota houn Kehte hai yeh ghaibat mei mola mei khoon ke aasoo rota houn Jab hoga zahoor kahun ga main, qasim lay lo akbar lay lo Yeh aun-o-muhammad hai bibi, bibi apna asghar lay lo Maa khali jhulati hay jhoola, mai khoon kay aansoo rota hou Kehte hai yeh ghaibat mei mola mei khoon ke aasoo rota houn Ab tak hay sakeena qaid wahaa, godee mai usko utha louga Jab ghaibat say main niklounga, zindan say usko nikaloonga Kano say hay uskay khoon behta, mai khoon kay aansoo rota houn Kehte hai yeh ghaibat mei mola mei khoon ke aasoo rota houn Tayyar agar tum ho jao, zahir mai abhi ho sakta houn Aey meray logo aaj bhee mai, bus rah tumharee takta houn Dukh kon samajhta hay mera, main khoon kay aansoo rota houn Kehte hai yeh ghaibat mei mola mei khoon ke aasoo rota houn Kitnay shahron bazaaron nay zainab ko khulay sar daikha hay Abid ki jo ankhon ne daikha main ne woh manzar daikha hay Aankhon main hai abid ka chehra, main khoon kay aansoo rota houn Kehte hai yeh ghaibat mei mola mei khoon ke aasoo rota houn Darbaar pe babe-saat ki mushkill who sehthi kis kay lieay Main soochta houn woh zainab ne qurbanee di thi kis kay lieay Bahnain nahi karti jab parda main khoon kay aansoo rota houn Kehte hai yeh ghaibat mei mola mei khoon ke aasoo rota houn Kyun aaj yeh ahal e aza mere, maqsad ko bhulaeay jatay hai Aamaal miray logoun ke qamar, jab mujh kow dikhae jatay hai Mujh ko hota hay ranj barra, main khoon kay aansoo rota hou Kehte hai yeh ghaibat mei mola mei khoon ke aasoo rota houn