لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Sare Hussain Sakina ki God me aaja

Fatema Ladak2012
ShiaNohaLyrics
Sare hussain sakina ki ghod mei aaja Sare hussain sakina ki ghod mei aaja, yazeed aaj mera imtehaan leta hai (Khadi hai haathon ko pehlaye) x2 gham zada dukhiya, yazeed aaj mera imtehaan leta hai Wo haske kehta hai dekhun to kaise ulfat thi Suna hai shah ko tumse bari mohabbat thi Tumhare haath mei ab meri laaj hai baba, yazeed aaj mera imtehaan leta hai Sare hussain sakina ki ghod mei aaja, yazeed aaj mera imtehaan leta hai Hamesha baat sakina ki aap ne maani Hamari baat kabhi aaj tak nahi talli Suboot chahiya zalim ko is mohabbat ka, yazeed aaj mera imtehaan leta hai Sare hussain sakina ki ghod mei aaja, yazeed aaj mera imtehaan leta hai Kafan se haath nikale the meri daadi ne Wo gharki baat thi ulfat ke bhi takaze the Magar yahan pe sakina hai aur phir ye jafaa, yazeed aaj mera imtehaan leta hai Sare hussain sakina ki ghod mei aaja, yazeed aaj mera imtehaan leta hai Zamin-e-karbobala par wo karwate legi Ye sunke laashe alamdar kaamp uthegi Khuda kare na sunne baat ye mera saqqa, yazeed aaj mera imtehaan leta hai Sare hussain sakina ki ghod mei aaja, yazeed aaj mera imtehaan leta hai Duae karte hai ehle haram ye roro ke Khuda hussain ki beti ko kaamyaab kare Nazar jhukaye hai beemare karbala mera, yazeed aaj mera imtehaan leta hai Sare hussain sakina ki ghod mei aaja, yazeed aaj mera imtehaan leta hai Mujhe bhi apne masaib sunaiye baba Jale huwe mere daman mei aayiye baba Sitam hai aaj tamashayi bangayi duniya, yazeed aaj mera imtehaan leta hai Sare hussain sakina ki gohd mei aaja, yazeed aaj mera imtehaan leta hai Mila jo ajre risalat bataungi tumko Galle pe neel rassan ke dikhaungi tumko Musibaton se guzarta hai bachpana mera, yazeed aaj mera imtehaan leta hai Sare hussain sakina ki gohd mei aaja, yazeed aaj mera imtehaan leta hai Mohbbaton ka takallum ye mojiza dekha Sarre hussain sakina ki gohd mei ayaa Na aayi baali sakina ke phir labon pe sadaa, yazeed aaj mera imtehaan leta hai