لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Batlayei(n) hamei(n)

Fatema Ladak2013
ShiaNohaLyrics
Batlaein humain Bibi Fizza Jorr Kar Hathou(n)ko kahtay hai(n) yeh sub ahl-e-aza Aey Kaneeze Maadar-e-Shabbir, yeh hay iltija Kya hoa thakuch bataie(n) Asr kay hangaam tak Aap Zainabkee sipar thei(n) Karbala say Shaam tak Kaisay guzree thee Karb o BalaA, Batlaie(n) humai(n) Bibi Fizza Kya shaam mai(n) aap nay daikha tha, Batlaie(n) humai(n) Bibi Fizza Shabbir bohat jab kamsin thay, senay say lagaatee thei(n) kaisay Kaisay kartee thei(n) pyar unhai(n), goudii mai(n) uthatei thei(n) kaisay Kis tar ha paaliti thie(n) Zahra, Batlaie(n) humai(n) Bibi Fizza Jab maqtal say bojhal qadmoo(n), khaimay kay ander aey thay Shabbir gaey thay maqtal say, ik ghatthree baandh ka laey thay Kya daikha tha Qasim ka laasha, Batlaie(n) humai(n) Bibi Fizza Sheh laey Asghar ko run say, ur day dya maa(n) ko ik laasha Maa(n) gardun daikh ka kahtee hay, cheh(6) mah ka bachcha nahr howa Kya kahta tha Asghar ka chehra, Batlaie(n) humai(n) Bibi Fizza Zahra kay dilbar khaak pa thay, sub laashay uttha kar lay bhe gaeay Thei(n) aap kahaa(n) Bibi Fizza, Jub laash pa ghorray dorray thay Kya haal tha us dam Zainab kaa, Batlaie(n) humai(n) Bibi Fizza Daikha tha shaam e ghareeba(n) mai(n), kya bint e shaah e madeena nay Bay sar kee laash ka tha seena, paie the jaga jow Sakeena nay Pehchaan lya kiasay laasha, Batlaie(n) humai(n) Bibi Fizza Jab paani aya zinda(n) mai(n), Bachchi nay paani kaisay pya Jab haath bandhay thay Zainab kay, Bhai ka matam kaisay kya Majlis hoee sheh ki kaisay bapaa, Batlaie(n) humai(n) Bibi Fizza Jab gurz laga zakhmi sar par, lamhay thay mussebat kay wo karray Lehratay thay pusht pa ghorray kee, thay jism mai(n) kitnay teer garray Ghorray say giray kaisay Mola, Batlaie(n) humai(n) Bibi Fizza Kanou(n) say guhar jab chintay thay, khaatee the tamanchay jab bachchi Kya kahta tha Abid ka chehraa, Batlaie(n) humai(n) Bibi Fizza Jalta hoa kaisay daikhtee thi, Asghar kay jhoolay kow maadar Zainab kay sar say haey QAMAR, kis tarha khaainchi gayi chadar Kisaay yeh manzar tha daikha, Batlaie(n) humai(n) Bibi Fizza