لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Imam-e-Asr (ATF)

Fatema Ladak2013
ShiaNohaLyrics
Imam-e-asr ke Imam e asr ke hounton pe hai hussain hussain x4 Basa hai aankhon mei zahra ka noore ain…noore ain hussain Galay mai(n) teer hay, asghar ko yaad kartay hai(n) Jigar pa haath hay, akbar ko yaad kartay hai(n) Na mil sakay ga kabhee tairay dil ko chain hussain---- imam e asr kay hountou(n) pa hay hussain hussain Bachaya deen ko sadqa utaar kar sar ka Rukh e hussain pa taza lahoo hay asghar ka Lahoo say dei(n) kee barrhatay hai(n) zaib o zain hussain--- imam e asr kay hountou(n) pa hay hussain hussain Rakhay hai(n) samnay abbas kay katay bazoo Hazaar saal bahay hai(n) yeh khoon kay aansoo Jigar ko kat-tay hai(n) tairay shor o shain hussain---- imam e asr kay hountou(n) pa hay hussain hussain Shikista pahloo hay is waqt maadar e dilgeer Parra hay khaak pa pamaal laasha e shabbir Ajab hay aalam e ghurbat mai(n) noor e ain hussain----- imam e asr kay hountou(n) pa hay hussain hussain Jahaa(n) pa hoti hay majlis imam hotay hai(n) Aza kay farsh pa woh hichkiou(n) say rotay hai(n) Koee bhee sunta nahi(n) teray shoor o shain hussain--- imam e asr kay hountou(n) pa hay hussain hussain duaeay fatima zahra bhee unkay saath mai(n) hay. Lahoo tapaktee hoiee zulfiqar haath mai(n) hay Bus aanay walay hai(n) zahra kay noor e ain hussain --- imam e asr kay hountou(n) pa hay hussain hussain Sar e hussain nay daikha hay shaam ka bazaar Woh bay ridaeay zaianab woh aabid e bimaar Lahoo bahatay hai(n) har waqt teray nain hussain --- imam e asr kay hountou(n) pa hay hussain hussain Humaray saath hee matam imam kartay hai(n) Na sun sakai(n) gay qamar koee tairay bain hussain. --- imam e asr kay hountou(n) pa hay hussain hussain