لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Jab karbala ki

Fatema Ladak2013
ShiaNohaLyrics
Jab karbala ki Jab karbala ki simt barha haq ka rehnuma, kuch agaya khayaal jo maa ke mazaar ka Aya suwey Baqee wo Zahra ka laadla, rukhsaar rakh ke sadr e lehed par ye di sada Chut ta hai ab Madina merey dil ko thaam lo, Amma ghareeb betey ka aakhir salam lo Amma tumharey laal se chut ta hai aaj ghar, amma tumharey laal se bargashta har nazar Amma tumharey laal ka dushman hai har bashar, amma tumharey laal ka hai aakheri safar Sehra me dil ke tukro ki basti basayega, amma Hussein ab na madiney me ayega Amma dua karo ke mai saabit qadam rahu, duniya khilaaf ho pa hiraasan zara nahu Har lamha muskura key sitam par sitam sahu, nazro ke saamney jo lutey ghar na kuch kahu Amma ye aansu aayein na Akber ke waastey, raasha na aaye hatho me asghar ke waastey Maa se ye kehraha tha abhi maa ka laadla, awaz aayi qabr se ay merey mehlaqa Sadqey teri musibat o ghurbat pe Fatema, bas ay Hussein bas ke hila arsh e kibriya Tarpey Abul Hassan bhi dil e beqarar se, beta Rasool e haq nikal aye mazaar se Ay merey laal terey irado ke mai nisaar, ye akheri safar hai merey dil ka izteraar Kaisey kahu jo dilpe guzarti hai gul azaar, hota hai be charaagh merey baap ka mazaar Jo tujpe zulm hongey ye dukhiya uthayegi, beta ye gham naseeb terey saath jayegi Aansu bahaungi terey ranjo alam ke saath, aankhein bichaungi terey naqshey qadam ke saath Zahra nidhaal hogi har ek taza gham ke saath, mera kaleja niklega potey ke dam ke saath Ghabhra na merey laal har ek dukh bataungi, mai terey saath lasha e Akber uthaungi Jayega tu jo nehr pe bhaai ki laash par, mai terey saath saath chalungi barehna sar Beta Hussein kya tuje iski nahi khabar, Abbas tera bhaai to mera dil o jigar Tu laash layega to safey gham bichaungi, mai ghod me katey huwe haathon ko laungi Beta Hassan ke laal ki khaatir ye kya malaal, merey Hassan ne tujpe nichawar kiya wo laal Fidye ke waastey koi karta hai yu malaal, beta mai us ghari bhi rahungi sharik e haal Gham hai qadam utha ke dil e paash paash ke, turkey chunungi ran se mai Qasim ki laash ke Haan merey laadley meri Zainab se hoshiyaar, be parda ho na jaye kahi meri parda daar Mehmil ke saath saath hon Abbas e zee waqar, taakeed ho ye Akbar e mehru ko baar baar Aamaada har qadam pe rahein peshwaai ko, takleef ho na raah me Zahra ki jaayi ko Jaa marqad e Rasool pe ay merey laal afaam, laazim hai nanajaan ko bhi aakheri salaam Dena meri taraf se ye hasrat bhara payam, mumkin nahi madiney me Zahra karey qayaam Tum bhi lahu me apna chaman dekhney chalo, Zainab ke bazuon me rasan dekhney chalo