لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Qaidiye zindaan sakina hai

Fatema Ladak2015
ShiaNohaLyrics
Sakina Sakina Sakina Sakina – 2 Shaam ke zindaan me sakina ka tha nauha Baba mere baba kaidiye zindaan sakina hai,-2 gum mei parishaan sakina hai - 2 daag yatimi ka milla baba, aag se damaan bhi jala baba yeh hai yatimi ki sazaa baba, dard ka quran sakina hai gum mei……. aake kabi mujse milo baba meri kahani tho sunno baba kuch hi dino ki to chalo baba Lahd mei mehmaan sakina hai gum mei……… aaj mere gum ki dawaa kya hai giryaa o matam ke siwa kya hai dekho tho anjaam e bukaa kya hai zulm se bejaan sakina hai gum mei….. khaak pe soti hu tadapti hu apke sine ko taras ti hu shimr ke saye se bhi darti hu maut ka armaan sakina hai gum ……. wadaa nibhane ke liye aao mujko sulaane ke liye aao gum se chudane ke liye aao aap pe qurbaan sakina hai gum………. abto yeh zindaan mera ghar hai khaak pe sonaa hi muqaddar hai gum se yehi baat labo par hai maut hi asaan sakina hai gum…. kaisi hai baba meri tanhayi ap hai ammu na koi bhai royi to dardo ki sazaa paayi zabt ka unwaan sakina hai gum fatemah iss dil pe chale khanjar shaam ke zindaan jo gaya mazhar bas ye sadaa maine suni ro kar bar sare zindaan sakina hai gum…..