لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Baraste Patharo Main Zakhmi

Fazal Abbas2021
ShiaNohaLyrics
Baraste patharo me zakhmi jab hui Zainab Toh roo k ghazi ka sar dekhti rahi Zainab Kahi pe durro se darbaar me tha maara gaya Kahi pe sung se bazaar me tha maara gaya Wohi sitam hue jis jaa khadi rahi Zainab Sitam ki koofiyo ne hai ayse had kardi Phirai kufe me jaise thi laash muslim ki Phirai waise hi rassi se thi bandhi Zainab Sitam kuch itne laeeno ki fauj karti thi Laraste kadmo se bazaar me wooh chalti thi Yun taziyano se zakhmi thi ho chuki Zainab Yeh shimr logo se has has ke hae kehta tha Bahen hai baaghi ki yeh jisko humne maar dia Najaane kis tarah yeh sab thi sun rahi Zainab Ali ke badle joh shami yeh humse lete hai Pukari fizza yeh pathar baraste kehte hai Ali se kitni hai in sabko dushmani Zainab Jab aai bhai ke maqtal me kaidi hoke bahen Kata Hussain ka tukdo me iss tarah tha badan Joh dekhi laash toh naake se gir padi Zainab Churi gale pe bhi jiske naa dekh pai thi Wooh dekhti rahi roo rook e gham satai thi Labo pe bhai ke chalte hue churi Zainab Waha asad o fazal aasoon ka tha nauha Mila rehai pe azbaab jab luta saara Toh der tak rahi chadar ko dekhti Zainab