لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ek tehreer uthaye

Habib Hussain Party2009
ShiaNohaLyrics
Sayyada, Tahera..(3) Ek tehreer uthaye, boli darbaar mein aakar zahra logo mai binte nabi hu Aisa badla hai madina, apna haq maang rahi hu ghasib se. kalma go kursi nashee'n hai, aur mai kabse khadi hu Ek tehreer... Pucha haider ne bata, jo bhi masjid mein hua roke bus itna kaha... kabhi deewaro ko thama, kabhi mai khaak pe baithi hu thak kar kabhi beto ne sambhala, kabhi raste mein giri hu Ek tehreer... Wo to kamsin hai abhi, door hai shaam se bhi sehna payegi kabhi mujhse zainab ne ye pucha, kaha jaati ho batao aye amma.. maine zainab se chupaya, ke mai darbaar chali hu Ek tehreer... Jab ye beto ne kaha, aise khamosh ho kyu amma kuch to bolo roke boli beto'n se, saath behno ka nibhana har jaa par nange sar kaise chalegi, bus yehi soch rahi hu Ek tehreer... Jitne dukh maine sahe, gar wo din par bhi pade wo siyah raat bane yehi dukh kam to nahi hai, kis qadar tanha madine mein hui hu koi sunta hi nahi hai, ke mai kya bol rahi hu Ek tehreer... Turbat e binte nabi, dekhe akbar jo kabhi mujhko lagta hai yehi uska Mehdi(a.t.f.s.) kehta hai, muntaqim banke madine, zahra ka jald aaunga logo, daure hazir ka Ali hu Ek tehreer... Aisa badla hai madina, apna haq maang rahi hu ghasib se. kalma go kursi nashee'n hai, aur mai kabse khadi hu Ek tehreer...