لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

NA CHOR KE JAO BABA

Haider Ali Hasnain Rizvi2024
ShiaNohaLyrics
Ek Sada Deti Thi Zainab Ek Sada Dete The Abbas Na Chor Ke Jao Baba Na Chod Ke Jao Baba 1) Amma Toh Bht Pehle Hme Chod Gyi Thi Us Waqt Musibat Ye Badi Hum Padi Thi Baba Tumhe Maloom Hai Wo Kaisi Ghadi Thi Dushwar Tha Jeena Baba Na Chod Ke Jao Baba 2) Ab Baap Ka Saya Kahi Uth Jaye Na Sar Se Masoom Se Bacho Ka Sahara Hai Pidar Se Ye Sach Hai Ke Har Ghar Me Ujala Hai Pidar Se Ho Jayenga Phir Ghar Soona Na Chod Ke Jao Baba 3) Tum Jate Ho Ab Ghar Me Wo Ronak Na Rahengi Kulsoom Bhi Ab Dard Baya Kisse Karengi Amma Ki Tarha Chod Hume Jate Ho Tum Bhi Kis Kaam Ka Hai Ab Jeena Na Chod Ke Jao Baba 4) Na Mane Musalman Ye Amma Ko Satakar Jane Kya Mila Baba Tumhe Zarb Lagakar Kis Tarh Musibat Me Ghire Hain Yaha Aa Kar Raas Aaya Na Humko Koofa No Chod Ke Jao Baba 5) Ye Dekh Ke Roti Rahin Shahzadiye Konain Khamosh Hai Lab Or Nhi Dil Ko Khi Chain Rote Hue Baba Se Yahi Kahte Hai Hasnain Ho Aap Hi Meri Duniya Na Chod Ke Jao Baba 6) Naraz Ho Baba Kya Hume Kuch Toh Batao Apne Dile Muztar Ka Bayan Kuch Toh Sunao Is Tarha Se Tanha Na Hume Chod Ke Jao Padhte Hai Ye Sarwar Noha Na Chod Kar Jao Baba 7) Rooti Hai Zamee'n Aur Udasi Hai Falak Par Kis Tarha Bayan Hoga Aman Humse Ye Manzar Hasnain Se Ramza,N Me Juda Hote Hain Haider Tha Sabke Labo Pe Nouha Na Chod Ke Jao Baba