لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mat dikhana meri amma ko kaleja baba

Haider ali shirazi jaunpuri2011
ShiaNohaLyrics
Waqt e aakhir shahe wala se ye akbar ne kaha mat dikhana meri amma ko kaleja baba dekhte hi wo tadap jayengi mera laasha mat dikhana meri amma ko kaleja baba Waqt e aakhir shahe wala se ye akbar ne kaha mat dikhana meri amma ko kaleja baba 1. Baba seene se ani yuhi nahi niklegi reh gayi jaake kaleje mein sitam ki barchhi khaichte waqt nahi dekhna mera chehra mat dikhana meri amma ko kaleja baba 2. Dekhte hi mere laashe ko tadap jayegi gar kaleja nazar aayega to marr jayegi baba kamzor hua karta hai dil har maa ka mat dikhana meri amma ko kaleja baba 3. Ghutniyo chalte hue aaye kareeb e akbar kis tarha jaoge aakhir meri mayyat lekar gar kisi haal me laashe ko meri le jaana mat dikhana meri amma ko kaleja baba 4. Ek hi baar mein mayyat ko nahi lejana baba thak jana to laashe ko kahi rakh dena baith kar khaak pe araam zara kar lena mat dikhana meri amma ko kaleja baba 5. Jis ghadi khaime mein le jayenge mayyat meri ek kohram bapa hoga qayamat hogi hoga yu khoon mein dooba hua laasha mera mat dikhana meri amma ko kaleja baba 6. Wo kaha karti thi dulha bhi banaungi tumhe ek din phulo ka sehra bhi pehnaungi tumhe dekho seene ka mere zakhm bohot hai gehra mat dikhana meri amma ko kaleja baba 7. Rakh ke seene pe mere haath kaha tha maa ne dasht mein dhyaan kaleje pe bhi rakhna bete chid na jaye kahi naize se tumhara seena mat dikhana meri amma ko kaleja baba 8. Jis ghadi maa ki nigahe ho mere seene par us ghadi rakhna kaleje ko abaa ke andar bus ye keh dena ke ab gesuo wala na raha mat dikhana meri amma ko kaleja baba 9. Tha use naaz bohot apne ali akbar par kis tarha dekhegi mujhpar wo sitam ka manzar chhin na jaye kahi pardes mein noor aankho ka mat dikhana meri amma ko kaleja baba 10. Maine socha tha ke marne pe tumhare baba baap ki laash ko dafnayega ek din beta dasht mein maut ne zinda mujhe rehne na diya mat dikhana meri amma ko kaleja baba 11. Yaad aati hai bohot fatima sughra meri jaane kis haal mein dukhiyari mariza hogi kaun batlaye use marr gaya tera bhayya mat dikhana meri amma ko kaleja baba 12. Yu mubarak na kisi maa ka muqaddar tute maa se pardes mein jaise ali akbar chhute gunjti reh gayi haider ye sare dasht sada mat dikhana meri amma ko kaleja baba