لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aye Nasir e Hussain

Hasan Abbas2016
ShiaNohaLyrics
Aye naseere hussain tujh par salaam ho Subh e aashoor ka khursheed falak par nikla Bandh ke sar pe kafan shah ka lashkar nikla Shor tha ishq e husain ab to dikhaya jaaye Khoon se aaj ye maqtal ko sajaaya jaaye Apne kirdar ko meezaane amal meiñ tola Aake maidan meiñ har eik sipaahi bola Maut ka aaj hameiñ kuchh bhi nahiñ khaufo khatar Apne mashooq se milne ka ye hi to hai hunar Rab ne hamko hai chuna shah ki nusrat ke liye Ambiya aaj tadapte haiñ shahadat ke liye Aaj unko jo shahaadat ka sharaf batlaayeiñ Sheh pe maidaan ke patthar bhi fida ho jaayeiñ Tum samjte hoñ ke paani ke talabgaar haiñ ham Apne maabood ki marzi pe giraftaar haiñ ham Gar hussain ibne ali aik eshaara kar de Ye nayastaan ko laashoñ se tumhari bhar de Ye sukhan karte huve hurre dilawar nikla Naar se khuld ki jaanib ye muqaddar nikla Noor allah ka maidaañ meiñ nazar aata h Yeh gunehgaar su e ibne ali jaata h Ab sunaata huñ habeeb ibne mazahir ka safar Haañ zaeefi se badan unka larazta tha magar Ishq ka josh kuchh aise sare maqtal laaya Baagh meiñ jaise koi bhooka parinda aaya Tha muhabbat ka junooñ kuchh bhi nahiñ tan ki khabar Muskura de te the chalte the jab ke teero tabar Es tarhaa jaan wo shabbeer pe lutaa te haiñ Jaise parwaane kisee shamma pe mit jaate haiñ Zindagi kehte haiñ kisko ye bataaya tumne Kaise hote haiñ musalmaan sikhaya tumne Ishq ka jaam zamaane ko pilaaya tumne Zulm ko sabr ki taaqat se haraaya tumne Kaise ahewaal likhuñ qamare banee haashim ka Aa ke maidañ meiñ basad fakhr sukhan karta tha Gar hussain ibne ali aaye khareedi ke liye Ek sau baar maiñ bik jaauñ ghulami ke liye Kiski tareef karuñ kiska maiñ ahevaal likhooñ Ho ke hairaan faqat aaj maiñ etna hi kahooñ Sab ke sab deene muhmmad ka muqaddar nikle Ishq taqseem kiya jab to bahattar nikle Sheh ki midhat meiñ 'hasan' apne qadam bharta rahey Ye junooñ nasle 'hasan' meiñ bhi safar karta rahey Aye khuda uske tu daamaan ko ash'aar se bhar Jab qalam usne uthaaya hai to aabad bhi kar