لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aye Nafse Mutmainna Raziyatam Marziya

Hasan Abbas2020
ShiaNohaLyrics
AYE NAFSE MUTMAINNA RAAZIYATAM MARZIYA RAB KI TARAF LAUT AA RAB KI TARAF LAUT AA Talwaar ko rok le larzish meiñ hai aasamañ Rab se mulaaqat ki karle tu taiyariyañ Tujh ko mera intezaar mujh ko tera intezaar Too hai wahañ bekaraar maiñ huñ yahañ bekaraar Akbar se farzand ko qurbaan hai kar chuka Besheer ke khoon se daaman ko hai bhar chuka Duniya meiñ tujh sa koi saabir nahiñ doosara Tujh sa jahañ meiñ mera zaakir nahiñ doosara Tiflee ka har aik tu waada wafa kar chuka Aye faatema ke pisar waada hai ye bhi mera Tere vafaadaar ko or tere ghamkhvaar ko Maiñ bakhsh dunga tere har ek azadaar ko Seh ta raha gham pe gham or shukr karta raha Har manzeel e ishq se bhi tu guzarta raha Le aaj tere liye maiñ ho gaya behijaab Apne iradoñ meiñ tu ho hi gaya kaamiyaab Jaisa tha too ne kaha waisa hi too ne kiya Aye faatema ke pisar tujh se maiñ raazi huva Apne pidar ki tarha saabir o Saadiq hai too Jaisa mujhe chaahiye waisa hi aashiq hai too Zakhmoñ se hai choor choor sadmoñ se hai tu nidhal Tanha haiñ ahle haram dil meiñ hai ye bhi malaal Haalat teri dekh kar har koi behosh hai Lekin tujhe hosh hai or hosh meiñ josh hai Ummat ka dil meiñ khayaal ho kar tah e tegh bhi Kya peshavaayi teri kya khoob hai rehbari Rehbar tu jis qaum ka wo qaum mere qareeb Jinka hai tu peshava wo log haiñ khush naseeb Marqad ko tere karunga wo bulandi ata Khak e lahed ko teri kar dunga khak e shifa Aisa sharaf paayegi karbobala ki zameeñ Ke naaz jis par kerega mera arshe bareeñ Shah e zaman ne 'hasan' jab rok li zulfiqaar Or sajda e aakhari meiñ gir gaya zeewaqaar Karta raha behaya khanjar se gardan pe vaar Deta raha aasamaañ se ye sada kirdigaar