لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Bhaiya Behen Aa Gayi

Hasan Abbas2021
ShiaNohaLyrics
Aye shah e karbobala Le lo hamara salaam BHAIYA BAHEN AA GAYI Chehlum mana ne tera aye bekafan tishnakaam BHAIYA BAHEN AA GAYI Aye shah e karbobala Le lo hamara salaam BHAIYA BAHEN AA GAYI...(2) The laakh qaatil magar us par na aanch aane di Sajjad ki har qadam main dhaal ban kar rahi Le kar salaamat mere hamraah chautha imaam BHAIYA BAHEN AA GAYI Jis waqt main thi chali mere ghareebul vatan Majboor thi ye bahen na de saki thi kafan Par aaj tera kafan le kar mere tishnakam BHAIYA BAHEN AA GAYI Har aik zawwaar ki khidmat karegi bahen Ab umr bhar karbala mein hi rahegi bahen Karde yahan par mere rehne ka kuchh intezam BHAIYA BAHEN AA GAYI Turbat se teri juda ho kar na ji paaungi Yasrab tujhe chhod kar hargiz nahin jaaungi Karbobala ki zameen hai aakhari ab muqaam BHAIYA BAHEN AA GAYI Teri shahadat husain pahonchadi ghar ghar talak Le kar gayi main tera paigham darbaar tak Jo tha adhoora tera wo kaam kar ke tamaam BHAIYA BAHEN AA GAYI Aavo satao enhein ailaan hota raha Ham berida the khade darbaar sajta raha Tha bekason ke liye ummat ka ye intezaam BHAIYA BAHEN AA GAYI Bhaiya amaanat teri vaapas mein laa na saki Sab kuchh bacha laayi par usko bacha na saki Dafna ke zindaan mein bachi ko shaah e anaam BHAIYA BAHEN AA GAYI Mushkil hai pehchaan na ab main nahin wo rahi Etne sitam ho gaye ke main zaif ho gayi Aawaaz se hi mujhe pehchan lo aye imaam BHAIYA BAHEN AA GAYI pahonchi jo karbobala mehmil se wo gir padi Girte sambhalte 'hasan' ek qabr par wo gayi Aankhon se aansoo ravan or lab pe tha ye kalaam BHAIYA BAHEN AA GAYI Aye shah e karbobala Le lo hamara salaam BHAIYA BAHEN AA GAYI...(2)