لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ummat Ne Haal Kardiya

Hasan Abbas2024
ShiaNohaLyrics
Haye Mazloom Hussain.. Haye Mazloom Hussain... Ummat Ne Haal kardiya Kaisa Hussain ka.. ×2 Bikhra Pada Hai Dasht Me Lasha Hussain Ka Ummat Ne Haal kardiya Kaisa Hussain ka... ×2 1.Ruk Jaa Aye Shimr Rok le Khanjar ko thodi Der... ×2 Zainab Gala na Dekh le Kat ta Hussain ka 2.Halqoome Shahe deen pe Chalti na thi Churi... ×2 Allah Itna Khushq gala Tha Hussain ka 3.Asghar ko sheh ne Jalti Zamee'n par leta Diya... ×2 Haye Tadapta Reh gaya Beta Hussain ka 4 Gurbat pe Shahe Wala Ke Haste the Ahle Shar.... ×2 Rota Raha Khayam me Kunba Hussain ka 5.Seene Me Naujawan ke Barchi Utaar kar... ×2 Lete Hai Imtehan Yu Aada Hussain Ka ×2 6.Behno ko Apni dekh ke Raaho Me Nange Sar... ×2 Rota tha Haye Sar Sare Naiza Hussain Ka 7.Haider Ghame Hussain Me Peeto Tum apna Sar... ×2 Zehra ko Aaj dena hai Pursa Hussain ka Kaisa Hussain Ka Kaisa Hussain Ka