لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Haye sajjad maula sajjad

Hasan Jafar & Ali Hasan2017
ShiaNohaLyrics
Haye sajjad...4 Haye sajjad maula sajjad x2 Ghurbat Pe tumhari rote hain Ghurbat pe tumhari roenge Jab yad tumhari ayegi Tumlogon par jaan khaenge 1) Jab mahe Muhorram ata hai aur gham ki ghate chati hain Dil chur ghamo se hota hai akhe bhi lahu barsati hain Jis waqt aza khane me rakhi zanjeer pe nazre jati hain Ghurat pe..... jab yad tumhari.. haye sajjad........ 2) Abbas jari k parchm mei  chota sa jo ye mashkiza hai Parcham me saja ye mashkiza pyaso ki yad dilata hai Har aakh se aasu behte hain har lab pe wafa ka nauha hai Ghurbat pe....Haye sajjad..... 3) Ta umr tumhare aasu bhi padhte rahe sarwar ka nauha Akbar k kaleje ka nauha aur gardan e asghar ka nauha Bazar k manzar ka nauha zainab k khule sar ka nauha Ghurbat pe..... jab yad... haye sajjad... 4)  Chaudah so baras se jari hai din rat ye matam dari hai Ghurbat pe tumhari aye maula ghamgeen ye duniya saari hai Jab jab ham pani peete hain yad aati pyas tumhari hai Ghurbat pe..jab yad...haye sajjad.... 5) Zindan pe masaeb Tmbe kie kis tarha gawara aye maula Tukde tukde hota hoga dil gham se tumhara aye maula Ro ro k sakeena ne jab bhi ammu ko pukara aye maula Ghurbat pe.. jab yad.. haye sajjad... 6) Ham kaise kahe kin aakho se lut ta hua ghar tmne  dekha Apno k janaze aye nazar Maqtal me jidhar tumhe dekha Afsos bhare bazaro se zainab ka guzar tumne dekha Ghurbat pe...jab yad... haye sajjad 7) Ham apne tasawwur me jab bhi naize pe sir ko dekhte hain Jalte hue khaime dekhte hain ujde hue ghar ko dekhte hain Ek bap ki maiyat pe jab bhi lachar pisar ko dekhte hain Ghurbat... jab yad... haye sajjad 8) Bechain hain jafar aur fakhri ehsas ka matam kaise kare Yado me tumhare askhko kim in aakho ko nam kese kare Jo dil pe uthae hain tmne wo dard bayan ham kese karen Ghurbat pe.... jb yad... haye sajjad..