لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Sajjad ka aghaz e imamat hua

Hasan Jafar & Ali Hasan2017
ShiaNohaLyrics
Sajjad Ka aaghaz e imamat you hua hai jakda hua zanjeer me bimar khada hai sajjad ka...... 1) Ghash se jo khuli akkh to khaime me tha kohramm ummat se jo mousul hue dekhe wo in aam pehlu me nazar ata tha simta hua islam socha bhi nahi tha jo kisine wo hua hai jakda hua.... sajjad ka... ..(2) 2) Keh paae na kuch zainab e kulsum se maula dekha na gaya nazro se jalta hua khaima lipti hui seene se ye kheti thi sakeena zalim ne mere baba ka sir kat lia hai jakda hua... Sajjad ka... ..(2) 3) Begor o kafan dasht me lasho pe hain laashe Khaime me phuphi deti hai bachho ko dilase dar ye hai k mehroom na ho jae rida se faujon ko lie shimr e sitamgaar khada hai jakda hua.. sajjad ka...(2) 4) zinda na raha ban me koi chahne wala dil kaise khuda jane k zainab ne sambhala jalte hue khaime se bhateeje ko nikala masoom ma e kaunain pe kya waqt pada hai jakda hua.. sajjad ka.. ..(2) 5) Jalte hua khaimo ka bhi ek simt hai manzar ek simt nabizaadiyan roti hain khule sir kaano se sakina bhi hai chin rahe gauhar kis dil se khuda jane k wo dekh raha hai jakda hua... sjjad ka ...x 2 6) pehnai jo zanjeer e sitam mehve jafa ne sir peet lia binte sahe karbobala ne bas itna kaha bhai se bejurm o khata ne kis jurm ki aakhir ye mere bahi saza hai jakda hua... sajjad ka... x 2 7) sajjad ko har lamha hi is gham ne rulaya mushkil me mein baba ki madad kr nahi paya akbar ka jawan laasha hi tanha hi uthaya har kam akele mere baba ne kia hai jakda hua... sajjad ka..x 2 8) bhule hi nahi ronjo sare rah uthae kode kabhi khae hain to patthar kabi khae khud apne lahu me hi kai barr nahae is bat ko har ek muarriq ne likha hai jakda hua... sajjad ka.....(2) 9) sajjad se asif jo koi milne ko aya besahkta khud roe hain usko bhi rulaya dikhlae kabhi zakhm kabhi haal sunaya ta umr hi maula ne hasan girya Kia hai jakda hua... sjjad ka....(2)