لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

As-salamu alaiki ya ghareeb sakina

Hashmi Sisters2011
ShiaNohaLyrics
Aaye hai hum tere darr par..(2) pursa dene ke liye..(2) majlis padhne ke liye matam karne ke liye nauha padhne ke liye jo tu nahi ro saki to rote hai ehle azaa..(2) aaye hai hum tere darr par... as-salam, as-salam, as-salam as-salamun alaiki ya ghareeb sakina..(3) 1. Pursa tere baba ka dete hai sab ehle azaa jisko dashte karbala mein zibha pyasa hi kiya karbala ki garm reti par tadapta reh gaya aasuo'n ke jaam ka..(2) hazir hai nazrana as-salamun alaiki..(3) ya ghareeb sakina as-salamun alaiki ya ghareeb sakina..(3) 2. Asr ko bhi ro na payi baap ki tum laash par muh pe lagte the tamache aur chinte the gauhar puchti thi sab se tum rokar najaf ki rahguzar us ghadi na mil saka..(2) pursa tum ko baap ka as-salamun alaiki..(3) ya ghareeb sakina as-salamun alaiki ya ghareeb sakina..(3) 3. Tum ne dekhi laashe akbar khaimo mein aate hue aur dekha jhule se asghar ko bhi jaate hue sheh ko dekha lashe qasim pusht par laate hue kamsini mein ye sitam..(2) haaye aye sakina as-salamun alaiki..(3) ya ghareeb sakina as-salamun alaiki ya ghareeb sakina..(3) 4. Jis tarha baade nabi zahra pe toote the sitam tum pe bhi baade hussain aise gira kohe sitam apni daadi ki tarha tumne saha har ranjo ghum hai salami aaj bhi..(2) tere darr par ambiya as-salamun alaiki..(3) ya ghareeb sakina as-salamun alaiki ya ghareeb sakina..(3) 5. Kaise hum bhule wo sheh ki laash par aana tera khud tadapna aur wo baba ko tadpana tera sar burida laash ke seene pe sojana tera aasma'n ye dekh kar..(2) ro raha tha ba khuda as-salamun alaiki..(3) ya ghareeb sakina as-salamun alaiki ya ghareeb sakina..(3) 6. Karbala se shaam ka kis tarha guzra raasta ek juda naaqe pe tumko zor se bandha gaya ro raha tha dekhke naize pe sar abbas ka keh raha tha haye haye..(2) ammu kuch na kar saka as-salamun alaiki..(3) ya ghareeb sakina as-salamun alaiki ya ghareeb sakina..(3) 7. Aye meri bibi hamari hazri maqbool ho ye hamari zakiri, nauhagari maqbool ho aap ke ghum mein ye ashko ki jhadi maqbool ho apni is dargaah mein..(2) hum ko phir bulwana alwida.. alwida.. alwida.. 8. Jaa rahe hai ab tere darbaar se hum alwida ho saka humse adaa na haqq e matam alwida saal bhar ayenge yaa'n zawwar paiham alwida bibi bus ek arz hai..(2) hum ko na bhulana alwida.. alwida.. (3) aye tanha sakina alwida, alwida ya ghareeb sakina..(3) 9. Adeeya o saniya mahum ki ab hai ye dua jab biche ghar mein hamare shaah ka farshe azaa tum zaroor aana hamare ghar mein shahe huda hum sunaenge tumhe..(2) nauha e majid raza alwida.. alwida.. (3) aye tanha sakina alwida, alwida ya ghareeb sakina..(3)