لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aey Meri Behno Suno

Hashmi Sisters2013
ShiaNohaLyrics
Aey meri behno suno, Qoum ki behno suno Mera paighaam suno, Aey meri behno suno Tum … Yaad parday ko rakho Aurton key liye hai hukm e shariat parda Ghour say dekho to hai aiK sa’aadat parda Poocho quraan say hai tatheer ki ayat parda Ba Khuda Zainab e Muztar ki hai sunnat parda Bibi batlaingee un key liye kya tha parda Sarbarehna theen tou baalon say kiya tha parda Aao manzar main dikhati hun tumhain Yasrab ka Aik din Baba say Zainab nay adab say ye kaha Hum ko lay chaliye zara Qabr e Nabi par Baba Baad e Maghrib tumhain lay jaoonga bolay Mola Din dhala shaam ki kirnain jo ayan honay lageen Betiyaan Mola ki parday main nihan honay lageen Sar pay maqna bhi rakha orh li Zainab nay aba Us aba nay tab unhain dhaanp lia sar ta pa Gird dukhtar kay lagay ghoomnay us dam Mola Poocha Zainab nay k kia dekh rahay hain Baba Bolay Haider key na parday main kami ho Beti Dekhta hoon kahin chadar na hati ho Beti Kaha Abbas say Haider nay key tum aagay barho Sab dukaanon kay charaghon ko zara bujhwa do Bolay Hasnain say tum behnon ko ghairay main rakho Parda behnon ka banaatay huay sab Bhaai chalo Betiyyon ko meray mola jo yun lay jatay thay Aisay parday ka chalan dahr ko sikhlatay thay Gird jin aurton kay rahta hai parday ka hisar Barhta hai aisi khawateen ka dunya main waqar Un ka hi hota hai zahra ki kaneezon main shumar Bay rida ho kay karo apnay amal mat bekar Bint e Zahra nay utari na thee khud hi chadar Sar e Zainab say basad jabr chinee thee chadar Mominaat aaj yahan tum pay koi jabr nahin Koi cheenay nahin lay jata hai chadar bhi kahin Sar pay hai Baap salamat to hai Bhaai bhi yahin Ghar hain mahfooz jalata to nahin koi laeen Tum nay kya samjha hai, Kya Fatima khush hotin hain Be rida dekh kay tum ko wo khafa hoti hain Kab talak roaingay Sajjad say jab poocha gaya Aap key ghar ka shahadat hai qadeemi virsa Bolay Sajjad k kia ye bhi hai virsa mera Cheena jaey meri Maan behnon kay sar ka parda Chadar e Zainab o Kulsoom ka yoon charcha kia Mola Sajjad ney chalees baras girya kia Voh jo parday ka chalan dehr ko sikhlaati thee Karbala mein usi Bibi ki rida cheeni gaee Poocho Zainab say kay us waqt bhala kia guzri Sarbarehna jo voh Darbar e Shaqi mein aaee Boli Zainab meray Ghazi say koi farma do Hosakay to meray sar key liey chaadar laa do ADEEYA, SAANIA, MAHUM suno MAJID ki sada Tum khavateen ko batlaao key kya hai parda Be ridaaee E haram par jo ho karti girya Laazmi hai key giray sar say tumharay na rida Deen kay wastay Zainab nay lutaya parda Sab khavateen ka ta hashr bachaya parda