لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abbas ke marne ki khabar se

Hashmi Sisters2016
ShiaNohaLyrics
Ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai sakte mein abbas ki marne ki khabar se..(2) ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai pyaaso ne giraya hai yu paani ko nazar se ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai sakte mein abbas ki marne ki khabar se ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai 1. Kya jaane ke kis mod pe le aayi hai qismat ab mashk uthane ki bhi karte nahi zehmat sab kooze lagaye hue baithe hai jigar se ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai 2. Beyaaro madadgar hai ab shahe madina sar apna jhukaye hue roti hai sakina zainab hai pareshaan rida chinne ke darr se ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai 3. Fizza bhi kisi bibi ko kab tak de dilase darr hai ke na dum tod de seh roz ke pyaase abbas e dilawar ki shahadat ke asar se ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai 4. Begoro kafan laashe shohada ke pade hai shabbir sue dasht e bala dekh rahe hai zakhmi hai koi teer se aur koi tabar se ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai 5. Pal bhar ke liye chayn nahi paati hai kulsoom ek laashe ke manind nazar aati hai kulsoom nikli thi dilawar ke bharose pe jo ghar se ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai 6. Jin bachho ne paani ko sakina se kaha tha jin bachho ne sookha hua mashkiza diya tha nazre wo milate nahi bachhi ki nazar se ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai 7. Ye baat alag hai ke sulagta hai kaleja paani ka magar koi bhi shikwa nahi karta karte hai bayaa'n haale jigar deeda e tarr se ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai 8. Asif sare maidan e sitam rote hai pyaase maahum jinhe deta bhi nahi koi dilaase sehme hue masoom hai sab baaniye se ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai sakte mein abbas ki marne ki khabar se..(2) ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai