لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Qur'an ka lahoo

Hashmi Sisters2017
ShiaNohaLyrics
Hasnain ne ye marsiya behno ko sunaya behta hai janamaaz pe qur'an ka lahu unneeswi ramzaan ye kya hashr dikhaya behta hai janamaaz pe qur'an ka lahu Hasnain ne ye marsiya behno ko sunaya behta hai janamaaz pe qur'an ka lahu 1. Ye wo lahu hai nana ne apna kaha jise ta hashr hai isi se imamat ke silsile karbal mein maa padhengi isi khoo'n ke marsiye kuch rehem baba jaan pe zalim ko na aaya behta hai janamaaz pe qur'an ka lahu 2. Duniya se guzarne ko hai mazloomo ka wali ab kisko sawaal apna sunayega sawali mimbar hua khamosh to mehraab hai khali ek kohe masaeb bin e muljim ne giraya behta hai janamaaz pe qur'an ka lahu 3. Karti thi fugha'n zainab o kulsoom tadap kar aye bhai bechayn hai dil seene ke andar zakhme gham e madar abhi taaza tha jigar par ek aur naya zakhm kaleje pe lagaya behta hai janamaaz pe qur'an ka lahu 4. Roti thi kabhi choom ke abbas ke baazu yaad aate kabhi zainab o kulsoom ke gesu kehte the kabhi shaam beh jaate the aansu baba ne kabhi jeeteji aaraam na paya behta hai janamaaz pe qur'an ka lahu 5. Zainab ne kaha ungliya'n ko nabz pe rakhkar ab phayl chuka zeher e dagha aaye baradar purhaul hai ekkiswi(21) shab haye muqaddar sajde mein sare paak pe kyu zakhm lagaya behta hai janamaaz pe qur'an ka lahu 6. Matam ko nigar aagaye hoorein bhi jina se kaabe ki zamee'n hilti thi faryad o fugha'n se kohram bapa hogaya nauhe ke baya'n se jab hashmi behno ne ye majlis mein sunaya behta hai janamaaz pe qur'an ka lahu Hasnain ne ye marsiya behno ko sunaya behta hai janamaaz pe qur'an ka lahu