لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Barchi ki ani

Hashmi Sisters2018
ShiaNohaLyrics
(Haye ALI AKBARA Waye ALI AKBARA)....(2) Barchi ki ani khench ke bole shahe wala (Main kaise uthau ALI AKBAR ka janaza)....(2) (Haye ALI AKBARA Waye ALI AKBARA)....(2) (1) Kuch bhi nazar aata nahi kis samt ko jau Imdad ki khatir me bhala kis ko bulau Koi nahi is alam e ghurbat me hamara Main kaise uthau ALI AKBAR ka janaza Tooti hain kamar, chhaya hain nazro'n me andhera (Haye ALI AKBARA Waye ALI AKBARA)....(2) Barchi ki ani khench ke bole shahe wala Main kaise uthau ALI AKBAR ka janaza (2) Furqat me jawaa'n laal ki binayi gayi hain Budha hain pidar ghum se kamar toot gayi hain Do nehr se ABBAS mujhe aake sahara Main kaise uthau ALI AKBAR ka janaza Tooti hain kamar, chhaya hain nazro'n me andhera (Haye ALI AKBARA Waye ALI AKBARA)....(2) Barchi ki ani khench ke bole shahe wala Main kaise uthau ALI AKBAR ka janaza (3) Hatho'n pe utha rakha tha Khaibar ka garadar Mashhoor do alam hain shuja’at me ab aakar Aye BABA ALI aap hi batlaye khudara Main kaise uthau ALI AKBAR ka janaza Tooti hain kamar, chhaya hain nazro'n me andhera (Haye ALI AKBARA Waye ALI AKBARA)....(2) Barchi ki ani khench ke bole shahe wala Main kaise uthau ALI AKBAR ka janaza (4) Aye kash ke tum jaate na darya ke kanaare Is tarah na hote kabhi halaat hamare Aye mere wafaadar bata dijiye itna Main kaise uthau ALI AKBAR ka janaza Tooti hain kamar. chhaya hain nazro'n me andhera (Haye ALI AKBARA Waye ALI AKBARA)....(2) Barchi ki ani khench ke bole shahe wala Main kaise uthau ALI AKBARA ka janaza (5) Amma tere bete pe qaymat ki ghadi hain Jalti hui reti pe jawaa'n laash padi hain Taqat bhi nahi deti hain ab saath hamara Main kaise uthau ALI AKBAR ka janaza Tooti hain kamar, chhaya hain nazro'n me andhera (Haye ALI AKBARA Waye ALI AKBARA)....(2) Barchi ki ani khench ke bole shahe wala Main kaise uthau ALI AKBAR ka janaza (6) Ankhon se yehi sochke aansu nahi rukte Kya hoga agar dekh liya BINTE ALI ne Barchi me hain lipta hua AKBAR ka kaleja Main kaise uthau ALI AKBAR ka janaza Tooti hain kamar. chhaya hain nazro'n me andhera (Haye ALI AKBARA Waye ALI AKBARA)....(2) Barchi ki ani khench ke bole shahe wala Main kaise uthau ALI AKBAR ka janaza (7) Barbaad hui ran me kamayi meri saari AKBAR ke lahu se yeh abaa tar hain hamari Har gaam badha jata hain farzand ka sadma Main kaise uthau ALI AKBAR ka janaza Tooti hain kamar, chhaya hain nazro'n me andhera (Haye ALI AKBARA Waye ALI AKBARA)....(2) Barchi ki ani khench ke bole shahe wala Main kaise uthau ALI AKBAR ka janaza (8) ZAINAB ne kaha khayme se rote hue Mahum Main saath hu tanha nahi SHABBIR e purgham Kehti thi behen sheh se Hilal ab nahi kehna Main kaise uthau ALI AKBAR ka janaza Tooti hain kamar, chhaya hain nazro'n me andhera (Haye ALI AKBARA Waye ALI AKBARA)....(2) Barchi ki ani khench ke bole shahe wala (Main kaise uthau ALI AKBARA ka janaza)....(2)