لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mawlati ya zahra

Hashmi Sisters2018
ShiaNohaLyrics
Mawlaati Ya Zahra (sa) - Title 2017* Azaa ka raasta hi siraat e mustaqeem hai Siraate mustaqeem hi azaa ka raasta hai Bichaoge jo farsh e ghum duaein dengi Fatima Baroze hashr dekh na balaein lengi Fatima Karo ye kaare haq adaa ke ajr dengi Fatima Ajrokum Al-az-Zahra x2 Mawalaati Mawalaati Mawlaati Ya Zahra Ya Zahra Ajrokum Al-az-Zahra X2 1) Inkaar e shahe deen mein hai dam deen e khuda ka Ab sar nahi ho sakta hai kham deen e khuda ka Hai majlis o matam se bharam deen e khuda ka Ooncha hai isi ghum se alam deen e khuda ka Saari dunya ko bataenge ye hum Baais e azm hai Shabbir ka ghum Ajrokum Al-az-Zahra X2 4) Jab farshe aza e shahe mazloom sada de Jab waqt e musibat koi maghmoom sada de Ya deher mein haq se koi mehroom sada de Ya apna samjhkar koi masoom sada de Ya Ali kehke barhadijiey haath Daudiye nara e labbaik ke saath Ajrokum Al-az-Zahra X2 5) Har ek ko nahi milta ghumme sibte payamabar Har aankh ka ansoon bhi nahi hota hai gauhar Ashoor ke din keh gaye ye hurr e dilawar Har koi nahi hota muqaddar ka sikandar Aadmi bas wo sharaf paaeyga Sar jhukake jo idhar aaeyga Ajrokum Al-az-Zahra X2 6) Nafso'n ki taharat ke liye kijiye matam Mazloom se qurbat ke liye kijiye matam Zalim ki mazammat ke liye kijiye matam Makhsoos ibadat ke liye kijiye matam Zindagi deeda e purnam ke liye Waqf kar dijiye matam ke liye Ajrokum Al-az-Zahra X2 7) Shabbir se hai pyaar to izhaar bhi kijiye Iszhar mein lazzat hai sare daar bhi kijiye Beyyat jo koi maange to inkaar bhi kijiye Ye kaare numaya sare darbaar bhi kijiye Zinda rehne ki tamanna hai agar Ishq mein jaan ki parwaah nahi kar Ajrokum Al-az-Zahra X2 8) Bachhey ko yeh maa kehte hue karti hai taiyyar Dunya mein tera naam ho aye haq ke parastaar Rozo'n ki taraf aankh uthaye na jafakaar Daaish ki kamar tod de aye sheh ke azadar Kaar gar ho na sitam gaar ka waar Baand le sar se kaffan phir ek baar Ajrokum Al-az-Zahra X2 9) Ashoor ki shab shamma jo sarwar ne bujhai Har chahanay walay ko nazar aai khudaai Aapas mein yehi kehte the sab haq ke fidai Kya is ke siva de koi chaahat ki safaai Koi shikwa ya shikayat na karein Jo jaha'n baitha hai wo baitha rahay Ajrokum Al-az-Zahra X2 10) Asif ghume sarwar mein kalam jab bhi chalao Kya maqsade shabbir hai dunya ko batao Paigham shahe deen ka Mahum jo sunaao Mazloomiye shabbir ka ahsaas dilaao Haq ki tehreek na rukne paaye Jaan jaati hai to be shak jaaey Ajrokum Al-az-Zahra X2