لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Shabe ashoor ki maaein

Hashmi Sisters2018
ShiaNohaLyrics
(De rahi thi yeh Shab e Ashoor ki maaein sada)..(2) (Hum tujhe abaad kar jayenge dashte KARBALA)..(2) Har khushi apni karenge teri khushiyo'n par fida (Hum tujhe abaad kar jayenge dashte KARBALA)....(2) (1) Ghum na kar bar ayengi kal subho teri aarzu Hum tujhe khush hoke denge apne baccho'n ka lahu Hashr tak shadaab rehne ki tujhe denge dua Hum tujhe abaad kar jayenge dashte KARBALA Har khushi apni karenge teri khushiyo'n par fida Hum tujhe abaad kar jayenge dashte KARBALA (2) Haa magar tujhse musalsal itna puchenge zaroor Kya khata humse hui thi, kya hamara tha qusoor Kis liye hum bekaso'n par ki gayi akhir jafa Hum tujhe abaad kar jayenge dashte KARBALA Har khushi apni karenge teri khusiyon par fida Hum tujhe abaad kar jayenge dashte KARBALA (3) Aaj ki shab hum hain masroof e ibadat dekhle Kis qadar baccho'n me hain shauqe shahadat dekh le Saj rahe hain maqsad e SARWAR pe hone ko fida Hum tujhe abaad kar jayenge dashte KARBALA Har khushi apni karenge teri khushiyo'n par fida Hum tujhe abaad kar jayenge dashte KARBALA (4) Jaan ki bazi laga denge hamare naunihaal Kar nahi sakte magar zalim se paani ka sawaal Pyaas ko hain maat dene ka dilo'n me hausla Hum tujhe abaad kar jayenge dashte KARBALA Har khushi apni karege teri khushiyo'n par fida Hum tujhe abaad kar jayenge dashte KARBALA (5) Sar se lekar paon tak khoo'n me nahayenge magar Zulm ke aage jhuka sakte nahi hai apne sar Sarfaroshi ka sabhi ko dars hum ne de diya Hum tujhe abaad kar jayenge dashte KARBALA Har khushi apni karenge teri khushiyo'n par fida Hum tujhe abaad kar jayenge dashte KARBALA (6) QASIM O AUN O MOHAMMAD ya ALI ASGHAR ka haath Haath me baiy'at ka aa sakta nahi AKBAR ka haath Sheer par itna to humko hain bharosa bakhuda Hum tujhe abaad kar jayenge dashte KARBALA Har khushi apni karenge teri khushiyo'n par fida Hum tujhe abaad kar jayenge dashte KARBALA (7) Teer talwar o tabar humko dara sakte nahi Khanjar o shamsheer ya durre jhuka sakte nahi Faisla humne jo karna tha woh humne kar liya Hum tujhe abaad kar jayenge dashte KARBALA Har khushi apni karenge teri khushiyo'n par fida Hum tujhe abaad kar jayenge dashte KARBALA (8) KARBALA ki maao'n par qurban Asif zindagi Bakhuda in maao'n me Hashim koi buzdil na thi Lamha lamha kar rahi thi farz yeh kehkar ada Hum tuje abaad kar jayenge dashte KARBALA....(2) Har khushi apni karenge teri khushiyo'n par fida (Hum tujhe abaad kar jayenge dashte KARBALA)....(2)