لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Umme Rabab

Hashmi Sisters2018
ShiaNohaLyrics
(Zauja e HUSSAIN, UMME RABAB )....(2) Madar e ASGHAR, Madar e SAKINA (Zauja e HUSSAIN, UMME RABAB)....(2) (1) Wafa RABAB ki bemisl hain zamane me Jhalak usi ki hain ASGHAR ke muskurane me Naseeb laya unhe Hashmi gharane me Shareek hogayi ISLAM ko bachane me Banaya dasht ko gulzar apne phoolo'n se Khiraj le liya ALLAH ke rasoolo'n se Madar e ASGHAR, Madar e SAKINA (Zauja e HUSSAIN, UMME RABAB)....(2) (2) Hum aur tum kaha'n aap si wafadari Na hausla, na shuja’at, na woh fidakari KHUDA ke deen pe jab waqt agaya bhaari Sitam ke aage magar maamta nahi haari RABAB apne mujahid ko bhejkar ran me Shabaab de gayi deen e KHUDA ko bachpan me Madar e ASGHAR, Madar e SAKINA (Zauja e HUSSAIN, UMME RABAB)....(2) (3) Suna ke loriyo me daastan e SHERE KHUDA Banaya ASGHAR e masoom ko jari aisa Banake nanha sipahi yeh maamta ne kaha Lage jo teer gale pe to muskura dena HUSSAINIYAT ka bharam mere laal rakhna hain Quran e sabr ki tafseer tumko karna hain Madar e ASGHAR, Madar e SAKINA (Zauja e HUSSAIN, UMME RABAB)....(2) (4) RABAB teri wafadariyo ko lakho salam Tamam kar gayi qurabaniyaa'n HUSSAIN KE NAAM Zamane bhar ki khawateen ko diye paighaam Musibato'n me bi ahd e wafa karo anjaam Hayaat e dhup me gar zere asmaan rahe HUSSAINIYAT ka magar sar pe sayebaan rahe Madar e ASGHAR , Madar e SAKINA Zauja e HUSSAIN, UMME RABAB)....(2) (5) RABAB jisme rahi woh makaan pyaara hain Sukhan HUSSAIN ka is baat ka ishaara hain Paye jihad jise har sitam gawara hain Khuda usi se hain raazi wohi hamara hain Jihad e sabr me faulaad ka jigar hain RABAB Baraye ZAINAB O KULSOOM ek sipar hain RABAB Madar e ASGHAR, Madar e SAKINA (Zauja e HUSSAIN, UMME RABAB)....(2) (6) Riwayato me hain BIBI ki daastan e wafa Ke jab nishaana koi pattharon se deta tha Yeh sochkar ke na zakhmi ho ZAINAB E KUBRA Badhake apne hi maathe ko waar rok liya Lahu lahaan hui pattharo'n se peshani Bhulayi ja nahi sakti kabhi yeh qurbani Madar e ASGHAR, Madar e SAKINA (Zauja e HUSSAIN, UMME RABAB)....(2) (7) Aye BIBI aapke gham ko bayaa'n karu kaise Uthaye daagh  yateemo'n ke kis kaleje se Kabhi SAKINA pe hote hue sitam dekhe Balayein li kabhi ASGHAR ke sar ke naize se Kabhi jale hue jhule ko yaad karti thi Kabhi HUSSAIN ki ghurbat pe aah bharti thi Madar e ASGHAR, Madar e SAKINA (Zauja e HUSSAIN, UMME RABAB)....(2) (8) Wigaar aakhri saanso'n talak RABAB E hazee'n Lagake seene se jhule ki lakdiyaa'n royi Na thanda paani piya aur na saye me baithi Kabhi SAKINA ki tanhai par tadap uthi Adiya, Saniya, Mahum RABAB ka ghum hain Bapa hain nauha o matam RABAB ka ghum hain Madar e ASGHAR, Madar e SAKINA Zauja e HUSSAIN, UMME RABAB Madar e ASGHAR, Madar e SAKINA (Zauja e HUSSAIN, UMME RABAB)....(2)