لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Horaha Hai Hussain (as) Ka Chehlum

Hasnain Abidi2022
ShiaNohaLyrics
Horaha hai Hussain(as) ka chehlum, Qalb-e-Zehra(sa) ke chain ka chehlum. 1) Zulm har ek uthaayi hai Zainab(sa), Wada karke nibhaayi hai Zainab(sa), Qaid khaane se aayi hai Zainab(sa). Horaha hai Hussain(as) ka chehlum Qalb-e-Zehra(sa) ke chain ka chehlum. 2) Shaahe waala ke jaan nisaaroun ka, Chashm-e-Zainab(sa) tere sitaaroun ka, Pursa dena hai gham ke maaroun ka. Horaha hai Hussain(as) ka chehlum, Qalb-e-Zehra(sa) ke chain ka chehlum. 3) Sab azadaar-e-Shaahe Karbobala, Bibi Kubra(sa) ko dete hain pursa, Bhaiyon ka pidar ka waali ka. Horaha hai Hussain(as) ka Chehlum, Qalb e-Zehra(sa) ke chain ka chehlum. 4) Hashr ek Karbala me hai barpa, Haaye kaisa sitam ye dhaaya gaya, Ghum zada Fatima(s.a) ka hai kunba. Horaha hai Hussain(as) ka chehlum, Qalb-e-Zehra(sa) ke chain ka chehlum. 5) Asghar-e-bezubaan ka maatam hai, Akbar- e-noujawan ka maatam hai, Aur Shahe dojahaan ka maatam hai. Horaha hai Hussain(as) ka chehlum Qalb - e- Zehra(sa) ke chain ka chehlum. 6) Aal-e-Ahmed(saws) hai aaj maatam me, Doobi hai kayenaat is ghum me, Goonjti hai sada ye aalam me. Horaha hai Hussain(as) ka chehlum, Qalb-e-Zehra(sa) ke chain ka chehlum. (7) Kya qayamat ka dekho manzar hai, Qabr -e- Sarwar(a.s) pa ek mehshar hai, Nouhagar Fatima(sa) ki dukhtar hai. Horaha hai Hussain (as) ka chehlum. Qalb-e-Zehra(sa) ke chain ka chehlum. 8) Bain karti hain Zainab-e-muztar, Ek qayamat guzar gayi hum par, Margayi qaid me teri dukhtar. Horaha hai Hussain(as) ka chehlum, Qalb-e-Zehra(sa) ke chain ka chehlum. 9) Umme Kulsoom(sa) hai bohot muztar, Qabr-e-Abbas(as) par hai nouhagar, Kehti hai Ghazi se ye ro ro kar. Horaha hai Hussain(as) ka chehlum, Qalb-e-Zehra(sa) ke chain ka chehlum. 10) Saath kunbe ke darbadar phir kar, Leke soughaat aayi hai khwahar, Ab nishaan-e-rasan hain baazu par. Horaha hai Hussain(as) ka chehlum, Qalb-e-Zehra(sa) ke chain ka chehlum. 11) Hai dua ye laboun pe 'Sahil' ke, Aye Khuda hum ko din wo dikhlaaye, Nouha 'Hasnain' Karbala me padhe Horaha hai Hussain(as) ka chehlum, Qalbe-Zehra(sa) ke chain ka chehlum.