لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Hum Azadare Karbobala Hain

Hasnain Abidi2022
ShiaNohaLyrics
Hum Azadar e Karbobala hain, hum Azadar e Karbobala hain. Hum ko Bint e Nabi ki dua hai, hum Azadar e Karbobala hain. 1. Agaya hai Aza ka mahina gham mai dooba hai sara zamana, Chhaayi duniya mai gham ki ghata hai, hum Azadar e Karbobala hain. 2. Aao matam karo saf banao ashk Sarwar(as)me gham mai bahao, Aao Ghazi ka parcham khula hai, hum Azadar e Karbobala hain. 3. Daali buniyaad Zainab(sa)ne is ki ye Azadari hoti rahegi, Ye sharf hum ko rab ne diya hai, hum Azadar e Karbobala hain. 4. Saans baqi hai jab tak tumhari yunhi karna Azadari Sheh(as)ki, Dars ye Maa ne hum ko diya hai, hum Azadar e Karbobala hain. 5. Hai ibadat gham e Sheh(as)mai rona hai eemaan aqeeda hamara, Zindegani hamari Aza hai, hum Azadar e Karbobala hain. 6. Kya muqaddar hai Saahil hamara hum ko Zahra (sa)ne bakhsha ye rutba, Lab pe Hasnain ke ye sada hai, hum Azadar e Karbobala hain.