لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Utho Sher E Jawan (as)

Hasnain Abidi2024
ShiaNohaLyrics
Nouha Zainab(sa) ka tha utho Sher-e-Jawa'n, Aye mere bawafa, utho Sher-e-Jawa'n. 1) Binte Haider(as) tadap kar ye kehti rahi, Dar se qaime ke mai dekhti reh gayi, Bhai maara gaya, utho Sher-e-Jawa'n.. 2) Shaam-e-gham ye sitam haaye hum par hue, Chhin gayi chaadarein aur qaime jaley, Dekho aake zara, utho Sher-e-Jawa'n.. 3) Dukhtar-e-Shah-e-Deen ko tamaache lagey, Kaan zakhmi hue gaal neele hue, Zulm aisa hua, utho Sher-e-Jawa'n.. 4) Berida humko Darbar me le gaye, The tamaashaayi baithe hue hum khadey, Thi qiyamat bapaa, utho Sher-e-Jawa'n.. 5) Haaye Sajjad(as) par zulm dhaaye gaye, Har qadam par usey taaziyaane lagey, Shimr ne ki jafaa, utho Sher-e-Jawa'n.. 6) Peeke jaam-e-qazaa tishnagi mit gayi, Qaid me margayi yu'n Sakina teri, Yaad tujhko kiya, utho Sher-e-Jawa'n.. 7) Raaste par jafaa Shaam-o-Kufa ke sab, Berida hum rahe sharm se chup the lab, Saaniye Murtuza(as), utho Sher-e-Jawa'n.. 8)Bayn karti rahi Zainab-e-qasta-tan, Mai ne aise uthaaye hain ranj-o-mehan, Tukde dil hogaya, utho Sher-e-Jawa'n.. 9) Ek mehshar tha Hasnain o Sahil bapaa, Zainab-e-qasta-ja'an padhti thi marsiya, Lutt gaya qafela, utho Sher-e-Jawa'n..