لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

alqama ke saahil par

Hassan Abbas Hamid2025
ShiaNohaLyrics
Vaaqiya huva aisa alqama ke saahil par Vaaqiya huva aisa alqama ke saahil par Shah ne kaha mujh ko karbala ko jaana hai Zuljanaah bas wo hi aakharee thikaana hai Jald ab mujhe leja alqama ke saahil par Phool jaise jismoñ par sakht barchhiyañ khaane Kufr ke shikanje se deen e haq ko chhudvaane Kaaravañ ruka sheh ka alqama ke saahil par Qatle ibn e haider ki aarazoo liye dil meiñ Baadaloñ ki tarha se ubhriñ shaam ki faujeiñ Aa ke shaah ko ghera alqama ke saahil par Zaalimoñ ne syed par band kar diya paani Teen din talak unko bund na mila paani Qaafila raha pyasa alqama ke saahil par Sher ek alam waala mashk le ke nikla tha Anginat laenoñ meiñ gir gaya akela tha Usko gher kar maara alqama ke saahil par Sharm na zara si ki faatema ke bete ki Jisko jitna ji chaaha utni barchhiyañ maari Zeen se gira mola alqama ke saahil par Yakbayak bayabañ meiñ chaa gayi siyaah aandhi Aasamañ se khooñ barsa or zameen tharrayi Tha samañ qayamat ka alqama ke saahil par Jaane kya chhupaaya tha rab ne us ki mitti meiñ Khooñ mila diya apna sab ne us ki mitti meiñ Bas gayi nayi duniya alqama ke saahil par Jab ke deen ka beda doob ta nazar aaya Nakhuda bana uska tab batool ka jaaya Or usko le aaya alqama ke saahil par Ho hasan ki qismat par bhi tera karam etna Tere paak zawwaroñ meiñ shumaar ho uska Kab bulaaoge mola alqama ke saahil par