لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ghaazi ka alam logo

Hassan Sadiq2005
ShiaNohaLyrics
(Baba tera shere khuda, tu wafaaon ka hai shehenshaa) x2 (Ghazi ka alam logo, bakshish ki zamanat hai) x3 (Taazim karo iski) x2 zahraa ki amanat hai (Ghazi ka alam logo, bakshish ki zamanat hai) x2 Abbas ka ye parcham, karbal ki nishaani hai Wabasta isi se kuch pyaason ki kahani hai Meyaar wafaaon ka azmat ki alamat hai (Taazim karo iski) x2 zahraa ki amanat hai (Ghazi ka alam logo, bakshish ki zamanat hai) x2 (Taazim karo iski) x2 zahraa ki amanat hai (Ghazi ka alam logo, bakshish ki zamanat hai) x2 Zaalim ne kiye dono baazu bhi kalam dekho Uncha hi raha phir bhi ghazi ka alam dekho Zainab ki duaaon se ab tak ye salamat hai (Taazim karo iski) x2 zahraa ki amanat hai (Ghazi ka alam logo, bakshish ki zamanat hai) x2 (Taazim karo iski) x2 zahraa ki amanat hai (Ghazi ka alam logo, bakshish ki zamanat hai) x2 Sar aaj bhi uncha hai har ek namazi kaa Islam yaqinan ye ehsaan hai ghazi kaa Jo aaj talak teri saanso mei hararat hai (Taazim karo iski) x2 zahraa ki amanat hai (Ghazi ka alam logo, bakshish ki zamanat hai) x2 (Taazim karo iski) x2 zahraa ki amanat hai (Ghazi ka alam logo, bakshish ki zamanat hai) x2 Maula ki zarih piche aage hai alam dekho Karbal ki tarhaa abhi mehsus huwa mujko Matam ke juluson mei ghazi ki kayadat hai (Taazim karo iski) x2 zahraa ki amanat hai (Ghazi ka alam logo, bakshish ki zamanat hai) x2 (Taazim karo iski) x2 zahraa ki amanat hai (Ghazi ka alam logo, bakshish ki zamanat hai) x2 Sine se lagaa rakhna ghar ghar pe sajaa rakhna Har shaam diye iski chokhat pe jalaa rakhna "Jawaad" ye sadyon se momin ki ibadat hai (Taazim karo iski) x2 zahraa ki amanat hai (Ghazi ka alam logo, bakshish ki zamanat hai) x2 (Taazim karo iski) x2 zahraa ki amanat hai (Ghazi ka alam logo, bakshish ki zamanat hai) x2