لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Karbal se shaam qaidi wo

Hassan Sadiq2008
ShiaNohaLyrics
(Karbal se shaam, qaidi wo) x2 (Yu(n) Karbala se Abid-e-Beemar chale hai(n)) x2 Ik zulm ki zanjeer mai(n), behno ke gale hai(n) (Yu(n) Karbala se Abid-e-Beemar chale hai(n)) x2 Maqtal mai(n) chaarsu ab ik hu ka hai aalam Na Ghazi alamdar na Akber hai na Qasim (Nok-e-Sina pe ab sabhi naazo(n) ke pale hai(n)) x2 Ik zulm ki zanjeer mai(n), behno ke gale hai(n) (Yu(n) Karbala se Abid-e-Beemar chale hai(n)) x2 Fil Qurba ki ayat ki ye tafseer hai logo Nok-e-Sina pe chadar-e-Tatheer hai logo (Lash-e-parhe hain her taraf aur khaime jale hai(n)) x2 Ik zulm ki zanjeer mai(n), behno ke gale hai(n) (Yu(n) Karbala se Abid-e-Beemar chale hai(n)) x2 Zehra ki laadli pe yeh kya waqat hai aaya Na sar pe rida aur na babul ka hai saaya (Aal-e-Abaa pe isterha haaye waqt dhale hai(n)) x2 Ik zulm ki zanjeer mai(n), behno ke gale hai(n) (Yu(n) Karbala se Abid-e-Beemar chale hai(n)) x2 Noha kuna zameen hai khoo(n) roya aasmaa(n) Paband-e-salasal hai(n) chale meer-e-Karawa(n) (Khoo(n) ro rahe hai(n) khaar jo paao(n) ke tale hai(n)) x2 Ik zulm ki zanjeer mai(n), behno ke gale hai(n) (Yu(n) Karbala se Abid-e-Beemar chale hai(n)) x2 Panjetan ke dar se tujhko qalam ataa hai "Khursheed" tujh ko Saani-e-Zehra ki dua hai (Tere sukhan ke phool yeh abhi phool phale hai(n)) x2 Ik zulm ki zanjeer mai(n), behno ke gale hai(n) (Yu(n) Karbala se Abid-e-Beemar chale hai(n)) x2 (Karbal se shaam, qaidi wo) x2