لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Apne shabbir ko seene se lagalo amma

Hussain Jari2010
ShiaNohaLyrics
Kheti ujad rahi thi shahe mashraqain ki maida'n se aa rahi thi sada ye hussain ki apne shabbir ko seene se laga lo amma arey aao ghode se mai girta hu sambhalo amma apne shabbir ko seene se laga lo amma..(2) aao ghode se mai girta hu sambhalo amma apne shabbir ko seene se laga lo amma..(2) 1. Amma tumne to bade naazo se paala hai hamein lad khadate hue chalne mein sambhala hai hamein aakhri baar kaleje se lagalo amma apne shabbir ko seene se laga lo amma..(2) 2. Guthniyo chalta to tum saath mere chalti thi apni aankho se mere talwo ko tum malti thi choor zakhmo se hu mai mujhko sambhalo amma apne shabbir ko seene se laga lo amma..(2) 3. Mai bohot tanha hu ab koi mujhe aas nahi dekho akbar nahi qasim nahi abbas nahi tum najaf se zara baba ko bulalo amma apne shabbir ko seene se laga lo amma..(2) 4. Charkh ne aaj sitam kaisa ye dikhlaya teen din hogaye pani bhi nahi paya hai jaa balab pyaas se hu jaan bachalo amma apne shabbir ko seene se laga lo amma..(2) 5. Aise hai zakhm e badan jaan chali jaati hai khoon behta hai bohot neend si aajati hai aake aaghosh mein ab mujhko sulalo amma apne shabbir ko seene se laga lo amma..(2) 6. Sehme baccho ko musibat se nikale zainab mujhpe girya kare ya khudko sambhale zainab apni beti ka zara haath batalo amma apne shabbir ko seene se laga lo amma..(2) 7. Hone wali hai yateema jo sakina amma asr ke baad se ujdega madina amma aao ab karbobala aake basalo amma apne shabbir ko seene se laga lo amma..(2) 8. Kaise majid mai likhu dard o alam ka manzar aye jari dasht mein gunji ye sada e sarwar aao ghode se mai girta hu sambhalo amma apne shabbir ko seene se laga lo amma..(2)