لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Bhayya meri chadar

Hussain Jari2017
ShiaNohaLyrics
Ya abbas, ya abbas..(2) haye  abbas haye haye abbas..(2) Zainab hai khule sar, nauha tha labo par abbas bhayya meri chadar..(2) Ujda hai mera ghar, aa jao palat kar abbas bhayya meri chadar..(2) 1. Yaad aata hai baba ko wo seene se lagana do baazu mere choom ke ashko ka bahana lo aagaya hamsheer pe ghurbat ka zamana qaidi hui pardes mein aulaad e payambar abbas bhayya meri chadar..(2) 2. Abbas tere khoon se tarr tera alam hai is dard se atka hua ab seene mein dumm hai zainab ko nahi maut ka, is baat ka ghum hai tatheer ki waris hui be maqna o chadar abbas bhayya meri chadar..(2) 3. Afsos mera koi madadgaar nahi hai is ban mein koi monis o ghumkhwar nahi hai jo mera muhafiz tha alamdar nahi hai aajao mere bhai ke zainab hai khule sar abbas bhayya meri chadar..(2) 4. Zainab pe mere bhai qayamat ki ghadi hai narghe mein laeeno ke behen haay khadi hai bhai ki mere laash bayabaa'n mein padi hai is alam e ghurbat mein nahi koi bhi yawar abbas bhayya meri chadar..(2) 5. Ye kaisi musibat hai nahi koi hamara mai hogayi barbaad ke ghar lut gaya saara aulad e payambar ka nahi koi sahara khaimo mein hai kohram ke taraaj hua ghar abbas bhayya meri chadar..(2) 6. Is alam e tanhayi mein ab kisko bulau abid ko sambhalu ke sakina ko bachau rudaad e musibat ki mai ab kisko sunau afsos hame lootne aaye hai sitamgar abbas bhayya meri chadar..(2) 7. Socha bhi na tha ye kabhi manzar mere bhayya mai qaidi banungi mera chhin jayega parda haatho mein rasan baandh ke le jayenge aada bazaar mein, darbaar mein jaungi khule sarr abbas bhayya meri chadar..(2) 8. Kya waqt muhib zainab e muztar pe ye aaya har ranj jari bint e payambar ne uthaya be parda nabi zaadi thi aur des paraya maqtal mein yehi nauha tha zainab ke labo par abbas bhayya meri chadar..(2) Zainab hai khule sar, nauha tha labo par abbas bhayya meri chadar..(2)