لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Sakina dekh rahi hai

Imran Datoo2018
ShiaNohaLyrics
Ghire hai laakho(n) mein kaise, hussain bekaso tanha, sakina dekh rahi hai Dare khayam se ran mein, ulat ke khayme ka parda, sakina dekh rahi hai 1. Wo zibha hote huwe baap ko na dekh sake Meri sakina hai masoom ye khayaal rahe Sitam ye uspe na dhaana abhi churi na chalana, sakina dekh rahi hai 2. Badan hai teero(n) se chalni hai zakhm zakhm hussain Bapaa hai khayma-e sarwar mein ek shoro shayn Kabhi laeen ka khanjar kabhi wo pyaasa gala, sakina dekh rahi hai 3. Gira hai aag ke sholo mein khayma-e sarwar Haram hussain ke rote hai lut gayi chaadar Kabhi phuphi ka khula sar kabhi hussain ka khayma, sakina dekh rahi hai 4. Badan ke zakhmo(n) ka marham kahi nahi milta Adoo hussain ko dete hai kis qadar izaa Jise batool ne pala sar uska barsare neza, sakina dekh rahi hai 5. Tumhaare laashaa-e be sar ko du(n) kafan kaise Mujhe bataao zara tum batool ke bete Hai bekasi ka natija padha hai ret pe laasha, sakina dekh rahi hai 6. Koi yatimo pe aisa sitam nahi karta Bas ek baar mera haal dekhlo baba Suno ay shahe zamana kisi ne jo nahi dekha, sakina dekh rahi hai 7. Bayaan karti thi binte hussain ibne ali Tumhaare baad musibat ki intehaa dekhi Tumhaare baad ye ghurki, tumhaare baad tamacha, sakina dekh rahi hai 8. Na khench ghurbate shabbir ka koi manzar Sadaa-e ghayb ye aati hai ajaae qaisar Nahi hai zabt ka yaara qalam ko rok khudara, sakina dekh rahi hai