لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mai nahi hu

Imran Mehdi2010
ShiaNohaLyrics
Khwab e sughra..(3) 1. Behen ne khwab ye kal shab hai dekha Shabeeh e mustafa bhaiyya hamara padar ke haath se banta hai dulha bohot masroor hai khush hai sakina damakta hai khushi se sabka chehra lekin, mai nahi hu afsos, mai nahi hu 2. Phuphi amma balae le rahi hai bohot fizza duae de rahi hai are thikana hai kya behno ke khushi ka jo mange wo jo chahe le rahi hai manata hai khushi kunba hamara lekin, mai nahi hu afsos, mai nahi hu 3. Ali asghar ko sheh wala banakar bithaya maa ne akbar ke barabar hatheli par rakhi mehendi zara si khade hai paas abbas e dilawar mujhe qasim ne har khaime me dhundha lekin, mai nahi hu afsos, mai nahi hu 4. Dulhan ke paas baithi hai sakina bohot masroor hai ghazi ka beta chacha akbar ki shaadi ki khushi me naya malboos hai baqer na pehna achanak mujhko aabid ne pukara lekin, mai nahi hu afsos, mai nahi hu 5. Mehek sehre ki ye batla rahi hai sawari sayyada ki aa rahi hai najaf se murtaza aae hue hai hawa tazeem karne jaa rahi hai hai aachal milke sab behno ne daala lekin, mai nahi hu afsos, mai nahi hu 6. Achanak khwab toota royi sughra tha ghar me har taraf chaya andhera tha laasho se bhara ganje shaheeda ali akbar ke seene me tha naiza mere baba tumhe dene ko pursa lekin, mai nahi hu afsos, mai nahi hu 7. arey abhi to khwab tha kitna suhana tha jin haatho me dekha maine kangna wo seene ka lahu roke hue the kaha ki rasm e shaadi kaisa sehra sabhi dete hai baba ko sahara lekin, mai nahi hu afsos, mai nahi hu 8. Samar behte rahe sughra ke aansu bhare akbar ke khako khoo me gesu ali akbar sue jannat sidhare fiza me rehgai bus khoon ki bu janaza mai uthati milke baba lekin, mai nahi hu afsos, mai nahi hu Mai nahi hu..(2)