لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ye raat na jaye

Imran Mehdi2010
ShiaNohaLyrics
ye raat na jaaye..(4) haaye haaye suraj se zara kehdo chup jaye kahin jakar.. ye raat na jaaye..(2) zainab ke kaleje par, chal jaenge 100 khanjar ye raat na jaaye..(2) haaye haaye 1.  Is raat ke parde me poshida hai afsane ye raat agar guzri kya hoga khuda jaane is raat ke jaate hi bichdega ali akbar ye raat na jaaye..(2) haaye haaye 2. Is raat ki sangini zainab se koi puchi hai maut ke narghe me do phoolnuma bache rone bhi na paegi maa bacho ke lasho par ye raat na jaaye..(2) haaye haaye 3. Maao ke kalejo par ye raat hai ek nashtar isko na guzarne do chota hai abhi asghar asghar ko ye teero me lejaegi behlakar ye raat na jaaye..(2) haaye haaye 4. Jab tak bhi theher jaye ye raat ghaneemat hai is raat ke piche to aani hai qayamat hai jaane ko ye jayegi naizo pe chadhake sar ye raat na jaaye..(2) haaye haaye 5. Kab raat ki tareeki lagti hai bhali kisko allah sahar na ho karte hai dua humto sojaega sahil par abbas mera jaakar ye raat na jaaye..(2) haaye haaye 6. Is raat ke jaate hi kya kya na sitam honge sar aale mohd ke bejurm qalam honge jal jaenge ye khaime lut jaega mera ghar ye raat na jaaye..(2) haaye haaye 7. Wo baali sakina jo darti thi andhero se us raat ke daaman ko thame thi wo haatho se kehti thi koi aaye ehsaan kare mujhpar ye raat na jaaye..(2) haaye haaye 8. Is raat ke pehlu me hai shame ghareeba bhi dhayegi sitam lakho wo shaam agar aai lut-te hue dekhegi wo shaam meri chadar ye raat na jaaye..(2) haaye haaye 9. Rehaan guzarna tha us raat ko wo guzri suraj ne ayaa hokar imran qayamat ki kehti rahi shehzaadi bus naade ali padhkar ye raat na jaaye.. haaye haaye