لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Jiyo to aise jiyo

Imran Mehdi2013
ShiaNohaLyrics
Husainiyo..Husainiyo..(4) Suno husainiyo suno..(2) Tumhi se ye khitaab hai..(2) Ye fikr-e-BuTuraab(as) hai..(2) Jo zulm par khamosh ho.. To zindagi azaab hai..(2) Chalo Husain(as) tak chalo Husain(as) hi bataaenge.. Ye zindagi ka falsafa Husain(as) hi sikhaaenge.. Husain(as) hi sikhaaenge ye zindagi ka falsafa Husain(as) to bata chuke hain zindagi ka falsafa Bani hui hai Karbala abhi bhi haq ki rehnuma Abhi bhi haq ki rehnuma Banaao Karbala ko sar ka taaj ay Husainiyo.. Jahaa'n mein hoga phir tumhara raaj ay Husainiyo.. Jiyo to aise Jiyo..(2) k khud Husain(as) kahe'n.. Haa'n tumhi Husaini ho..(2) Jiyo to aise Jiyo..(2) k khud Husain(as) kahe'n.. Haa'n tumhi Husaini ho..(2) 1) Jiyo to aise k Meesam ki fikr chha jaaye Tumhare daur ka marhab bhi tumse ghabraaye Yazid(la)-e-waqt tumhare qadam mein aa jaaye Jo maut aaye tumhari taraf to tharraaye Yazid(la)-e-nau hain jo aewaan unke dhaane hain Har ek samt alam Shaah(as) k lagaane hain Jiyo to aise Jiyo..(2) k khud Husain(as) kahe'n..haa'n tumhi Husaini ho..(2)..(2) 2) Jahaa'n mein ab bhi hai hal-min ki ik sada sun lo Dar-e-Husain(as) se waabasta hai baqa sun lo Azaa-e-Sheh(as) pe to Zehra(sa) ki hai dua sun lo Na hogi ye to dam-e-hashr bhi fanaa sun lo Shahadate'in to hain wirsa naa inse ghabraao Gharo'n se sar pe kafan baandh kar nikal jaao Jiyo to aise Jiyo..(2) k khud Husain(as) kahe'n..haa'n tumhi Husaini ho..(2)..(2) 3) Janaab-e-Meesam-o-Qambar k hum khayaal bano Zameer-o-zarf mein Buzar ki tum misaal bano Misaal-e-Hazrat-e-Salman baakamaal bano Husainiyat pe bahattar k jaisi dhaal bano Shaoor-o-aagahi irfaan ka khayaal karo Tum apne ilm se zulmat ka ab qitaal karo Jiyo to aise Jiyo..(2) k khud Husain(as) kahe'n..haa'n tumhi Husaini ho..(2)..(2) 4) Ho nasl-e-nau mein bhi ab fikr muntaqil aise Namaaz wajhd mein padhte the Murtaza(as) jaise Ki raah-e-shaam mein sajjad(as) ne azaa waise Bhala namaaz-o-azaa ho gayi juda kaise Ibaadato'n k taqaabul ko dur karna hai Haa'n nasl-e-nau ko tumhe baa shaoor karna hai Jiyo to aise Jiyo..(2) k khud Husain(as) kahe'n..haa'n tumhi Husaini ho..(2)..(2) 5) Siraat-e-haq pe hai chalna Husain(as) ko samjho Chalo k maqtal-e-ibn-e-Ali(as) zara dekho Husain(as) Noor-e-Kibriya Husain(as) Husn-e-Mustafa(saww) Husain(as) Aks-e-Murtaza(as) Husain(as) Qalb-e-Fatema(sa) Hasan(as) k dil ka chain hai Husain(as) hi Husain(as) hai..(5) 6) Meyaan-e-Karbala khula Husain(as) fajr ki baqa Husain(as) zohr ki jila Husain(as) asr ki nidaa Allah-o-Akbar..(2) Ye rooh-e-maghrebain hai..(2) Husain(as) hi Husain(as) hai..(4) 7) Hai teen(3) din ka wo pyaasa meyaan-e-Karbobala Na bhai bete bhatija koi bhi ab na raha Haa'n baal khole hain maqtal mein Fatema Zehra(sa) Hai shimr(la) haath mein khanjar liye hue badhta Husain(as) sajda-e-Khaaliq mein sar kataate hain Khuda ka deen shariyat bachaaye jaate hain 8) Khuda ka deen bhi mamnoon ho gaya tera Husainiyat k sabab deen-e-Kibriya hai bacha Yehi to fakhr hai "Salman Azmi" apna Husainiyat se hi "Imran" hai juda rishta Husainiyat to jahaa'n se na mit sakegi kabhi Duaa-e-Fatema Zehra(sa) hai saayebaa'n apni ..............Shukr-e-Maula(as)..............