لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Roke sajjad ne zindaa'n mein sakina se kaha

Imran Mehdi2013
ShiaNohaLyrics
Haye Sakina(sa).....(4) Roke Sajjad(as) ne zindaa'n mein Sakina(sa) se kaha.....(2) Neend kyu'n aati nahi..(2) Karti ho din raat buka Roke Sajjad(as) ne zindaa'n mein Sakina(sa) se kaha.....(2) 1) Mai bada bhai hu samjho mujhe baba ki jagah.....(2) Aao so jaao k..(2) haazir hai hamara seena Roke Sajjad(as) ne zindaa'n mein Sakina(sa) se kaha.....(2) 2) Mai samajhta hu abhi zakhm hai kaano'n k hare.....(2) Mere aansu tere..(2) zakhmo'n k liye honge dawa Roke Sajjad(as) ne zindaa'n mein Sakina(sa) se kaha.....(2) 3) Manzar-e-shaam-e-ghareebaa'n se shab-e-zindaa'n tak.....(2) Ek lamhe ko naa..(2) khola gaya rassi se gala Roke Sajjad(as) ne zindaa'n mein Sakina(sa) se kaha.....(2) 4) Kaisa zindaa'n hai ujaalo'n se mulaaqaat nahi.....(2) Meri pyaari teri..(2) qismat mein savera naa raha Roke Sajjad(as) ne zindaa'n mein Sakina(sa) se kaha.....(2) 5) Pyaas ashkho'n se bujhaane se kahaa'n bujhti hai.....(2) Khoon aankho'n se tapak..(2) ne laga ashko'n ki jagah Roke Sajjad(as) ne zindaa'n mein Sakina(sa) se kaha.....(2) 6) Humko maalum hai bin tere watan jaana hai.....(2) Alwida meri bahen..(2) binte Ghareebul ghuraba(as) Roke Sajjad(as) ne zindaa'n mein Sakina(sa) se kaha.....(2) 7) Hathkadi bediyo'n aur tauq ki majburi hai.....(2) Warna mai khaak pe tujh..(2) ko nahi sone deta Roke Sajjad(as) ne zindaa'n mein Sakina(sa) se kaha.....(2) 8) Nauha "Imran" ye "Rehaan" ki bakhshish ka sabab.....(2) Hashr mein kaise na ho..(2) sath hai Aabid(as) ki dua Roke Sajjad(as) ne zindaa'n mein Sakina(sa) se kaha.....(2) Haye Sakina(sa).....