لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Bazaar aaya darbaar aaya

Imran Mehdi2014
ShiaNohaLyrics
"Baazar aaya darbaar aaya" Beemar Aabid rokar pukaara, Baazar aaya darbaar aaya, Baalon se parda karlo khudaaya, Baazar aaya darbaar aaya, Beemar Aabid rokar pukaara, Baazar aaya darbaar aaya, 1. Pairon mein chhale honton pe naale, kis kis ko aabid tanha sambhale..(2) Patthar kisine zainab ko maara, Baazar aaya darbaar aaya, 2. Ek reesma hai baara gale hai, aansu bahaate qaidi chale hai..(2) Zakhmon se jaari hai khoon ka dhaara, Baazar aaya darbaar aaya, 3. Boli Sakina mushkil hai jeena, ranjo-alum se phatta hai seena..(2) Hai qabr jaisa maahoul saara, Baazar aaya darbaar aaya, 4. Hai pushte Aabid durro'n se zakhmi, Aakhon ke khoon se bheegi hai bedi,..(2) Ahle sitam hai mehwe nazaara, Baazar aaya darbaar aaya, 5. Noke sina par rote hai sarwar, aaya zameen par abbas ka sar..(2) Tadpa sina par Haider ka pyaara, Baazar aaya darbaar aaya, 6. Fizza ke haami maujood kitne, Zainab ke lekin bhai na bete..(2) Na koi waaris hai na sahaara, Baazar aaya darbaar aaya, 7. Sajjad dilko kaise sambhale, khoon ro rahe hai pairon k chhale..(2) Kaanto pe aabid ko hai guzaara, Baazar aaya darbaar aaya, 8. 'Imran Mehdi' 'Rehan Muztar' kaise bayaan ho humse woh manzar, Binte Ali ne jis dum pukaara, Baazar aaya darbaar aaya,