لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ishq e hussaini

Imran Mehdi2014
ShiaNohaLyrics
Kaabaye qalbam Qiblaye jaanam Waarise Quraa'n Guft ee'n Yazdaa'n Ya Husain(as).. (2) Aashiqe tuyam Khaadime tuyam Deene manam tu jaane manam tu mehret mehre Murtuza(as) hast Ishqe Husaini ishqe Khuda hast Ishq faqat ishq e Husaini.. (4) 1. Tafseere baqa tanveere ataa tash'heere aqeeda ishqe Husain(as) Waajib hai tilaawat har lamha ik aisa wazeefa ishqe Husain(as) Aaghosh se maadar ki apne humko to mila hai ishqe Husain(as) Hum baaqi rahe ya mit jaye par baaqi rahega ishqe Husain(as) 2. Ye ishqe Husain ibne Haider(as) hai Behre karam aur Behre sakha Sehra ki khaak me shaamil ho to kardeta hai khaake shefa Aasi ko yehi Hur(as) karta hai iske hi sabab Mukhtar bana Utri jo mawaddat ki aayat deti hai musalsal ek sada 3. Ye ishqe Husain(as) hi karta hai haq goyi ki jurrat paida Ye daar ko mimbar karta hai har wasf isey haasil hai juda Ye maut se kab ghabraata hai, hai dur bahot isse to fanaa Ye jaan bhala kya cheez hai ye to rooh bhi kardeta hai fedaa 4. Gar ishqe Husain(as) samajhna haito Karbobala ki simt chalo Kya ishq hai Khaaliq se Sheh(as) ko tum pehle zara isko dekh Phir ishq samajh me aaega samjhoge agar tum Karbobala.. (2) 5. Wo jalti zami tapta sehra sab bhai bhatije aur bete Akbar asghar Qaasim ghaazi aur aun o mohammad k laashe Wo ishqe Khuda ka aalam tha sab tanha uthaaye hain Sheh(as) ne Khanjar k tale sajde ki adaa phir shaame alam jalte khaime 6. Baazaar saja darbaar saja aur behne chali hain be parda Par ishq e Khuda me aashiq k honto pe nahi koyi shikwa 7. Ishq e Khaaliq me haasil hai Sheh(as) ko kamaal Ishq se hogai Karbala laa zawaal Jab k peshe nazar ishq e Shabbir(as) ho Zehen me aaye ashaabe Sheh(as) ki misaal 8. Chand qatre the magar misle samandar ubhre Dubkar ishq e Husaini me bahattar ubhre Naam bas wo hi hue khaake shefa me shaamil Lauhe mehfuz se jo bar sare mehzar ubhre Jab Shahe dee'n ne bujhaaya hai charaaghe Khaima Chaand ban ban k waha khaak k paikar ubhre.. 9. Raaze haq ka jo talabgaar nazar aaega Ishqe Shabbir(as) se sar shaar nazar aaega Ishqe Shabbir(as) agar hadd se guzar jaye to Sirf Abbas(as) alamdaar nazar aaega 10. Tamseel nahi milti uski jo ishq tha ghaazi ko Sheh(as) se IMRAN se ye SALMAN kahi ab mera qalam aur kya likhe Jab baat hado tak aa Pohche.. Ghaazi ghaazi ghaazi kehkar sab ehle jahaa'n khamosh hue.. Ishq faqat..... mehret mehre Murtuza(as) hast Ishqe Husaini ishqe Khuda hast..