لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aaqa e mann

Imran Mehdi2017
ShiaNohaLyrics
Khuld ki deed ka jab shauq ubhar aaya hai Bas tasawwur me tera rauza nazar aaya hai Jaan bhi tujh pe feda dil ye feda hai tujhpar Ishq se tere duaao'n mein asar aaya hai Aaqa-e-Man Qibla-e-Man Jaan-e-Manam Ya Husain(as) 1. Tujh sey toheed shanasi ka sharaf paaya hey Ye  tera ishq hi MOLA mera sarmaya hey Tu hi Kaaba hai mera Tu hi Qibla hai mera Mein hun banda tera Ya Husain(as) 2. Tera aashiq hun sar-e-daar ye ailaan karun Jaan so baar teray ishq mein qurban karun Aaye toofan-e-alam Laakh sehnay houn sitam Mai pukarun ga Ya Husain(as) 3. Mar k jeena kisay kehtay hein mujhay aata hai Mujhko maloom hai takhleeq ka maqsad kya hai Mein azadaar tera Ay Shahan Shah-e-Huda Tu hai meri baqa Husain(as) 4. Jab dua FATIMA ZAHRA(sa) ki hai sar par saya Phir humein khof zamanay ka bhala ho kesa? Tu meray dil ka makee’n Shehrag-e-jaa’n se qaree’n Waris-e-hal ata Husain(as) 5. Dil kay qirtaas pe hai naam tera harf-e-jali Ay Shahan Shah-e-Zama’n Rab kay wali Ibn-e-ALI(as) Aai mushkil jo kabhi To parhi Naad-e-ALI(as) Di tujhay hi sada Husain(as) 6. Karbala mein wo sitam aur jafa ki aandhi Bay kasi tashna labi haaye wo ghurbat teri Seh kay har aik jafa Sajda-e-shukr kia Hay tera hosla Husain(as) 7. Darmiya’n zeen-o-zamee’n laasha raha hai tera Dasht-e-pur haal mein teero’n ney uthaya laasha Haaye khanjar jo chala Pusht-e-gardan sey kata Tera sookha gala Husain(as) 8. Hai ye Salman pe "Imran" pe teri hi ata Dharkan-e-Qalb hoi farsh-e-Aza sey na juda Hum ney bachpan se sada Tera maatam hai kiya Lab pe noha raha Husain(as)